Mujh pe Altaf o Karam Ya Shahe Jeelani Rahe Lyrics

Mujh pe Altaf o Karam Ya Shahe Jeelani Rahe Lyrics

 

Mujh pe Altaf o Karam Ya Shahe Jeelani Rahe Lyrics

Janab e Ghaus Karam Ki Nigaah Kar Dena
Shahar Baghdad Maiñ Dekhooñ Mujhe Daad e Safar Dena
Na Ghar Dena, Na Zar Dena Magar Itna Asar Dena
Tumheñ Aathoñ Pahar Dekha Karuñ Aisi Nazar Dena

 

Mujh Pe Altaf o Karam Ya Shahe Jeelani Rahe
Waqte Naza Saamne Tasveere Noorani Rahe
Jalwagar Hoñ Aap Aur Sajde Meiñ Peshani Rahe
Baat Rah Jaaye Meri Itni Mehrbani Rahe
Laaj Meri Kam Se Kam Mahboob e Sub’haani Rahe

 

Laaj Meri Kam Se Kam Mahboob e Sub’haani Rahe ….

 

Karbala Waloñ Ka Sadqa Sab Se Yakta Rang De
Naqshbandi Ya Nizami, Tera Jimma Rang De
Sabri Ya Qadri Lekin Anokha Rang De
Mere Dil Ko Ya Shahe Baghdad Aisa Rang De
Sari Duniya Tere Deewane Pe Deewani Rahe

 

Sari Duniya Tere Deewane Pe Deewani Rahe…

 

Aap Haiñ Daata To Fir Kya Gham Faqeeroñ Ke Liye
Kab Khazane Meiñ Raha Hai Kam Faqeeroñ Ke Liye
Haath Ooñcha Hi Raha Har Dam Faqeeroñ Ke Liye
Ghair Ko Shaahi Mubarak, Hum Faqeeroñ Ke Liye
Dar Salaamat Aap Ka Ya Ghaus e Samdaani Rahe

 

Dar Salaamat Aap Ka Ya Ghaus e Samdaani Rahe…

 

Mauqa e Taana Zani Ahl e Zamana Ko Na Do
Leke Shauq e Deed Aañkhoñ Meiñ Yahañ Se chal pado
Aag Ke Shole Utheñ, Bijli Gire Jo Ho So Ho
Janib e Baghdad Is Andaaz Se Nazaañ Chalo
Bhes Jogi Ka Rahe Aur Chaal Mastani Rahe

 

Bhes Jogi Ka Rahe Aur Chaal Mastani Rahe …

 

 

Leave a Reply