Aakhiri Roze Hain Dil Ghamnaak Muztar Jaan Ha in Hindi

Aakhiri Roze Hain Dil Ghamnaak Muztar Jaan Ha in Hindi

 

आख़िरी रोज़े हैं दिल ग़मनाक मुज़्तर जान है / Aakhiri Roze Hain Dil Ghamnaak Muztar Jaan Hai

आख़िरी रोज़े हैं दिल ग़मनाक मुज़्तर जान है
हसरता वा-हसरता ! अब चल दिया रमज़ान है
‘आशिक़ान-ए-माह-ए-रमज़ाँ रो रहे हैं फूट कर
दिल बड़ा बेचैन है, अफ़्सुर्दा रूह-ओ-जान है
दर्द-ओ-रिक़्क़त से पछाड़ें खा के रोता है कोई
तो कोई तस्वीर-ए-ग़म बन कर खड़ा हैरान है
अल-फ़िराक़, आह ! अल-फ़िराक़, ए रब के मेहमाँ ! अल-फ़िराक़
अल-वदा’अ अब चल दिया तू, ए मह-ए-रमज़ान है
दास्तान-ए-ग़म सुनाएँ किस को जा कर आह ! हम
या रसूलल्लाह ! देखो चल दिया रमज़ान है
ख़ूब रोता है, तड़पता है ग़म-ए-रमज़ान में
जो मुसलमाँ क़द्र-दान-ओ-‘आशिक़-ए-रमज़ान है
वक़्त-ए-इफ़्तार-ओ-सहर की रौनक़ें होंगी कहाँ !
चंद दिन के बा’द ये सारा समाँ सुनसान है
हाए ! सद अफ़्सोस ! रमज़ाँ की न हम ने क़द्र की
बे-सबब ही बख़्श दे, या रब ! की तू रहमान है
कर रहे हैं तुझ को रो रो कर मुसलमाँ अल-वदा’अ
आह ! अब तू चंद घड़ियों का फ़क़त मेहमान है
अस्सलाम, ए माह-ए-रमज़ाँ ! तुझ पे हों लाखों सलाम
हिज्र में अब तेरा हर ‘आशिक़ हुआ बे-जान है
दस्त-बस्ता इल्तिजा है, हम से राज़ी हो के जा
बख़्शवाना हश्र में, हाँ ! तू मह-ए-ग़ुफ़रान है
काश ! आते साल हो ‘अत्तार को रमज़ाँ नसीब
या नबी ! मीठे मदीने में, बड़ा अरमान है
शायर:
मुहम्मद इल्यास अत्तार क़ादरी
ना’त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी
मुश्ताक़ क़ादरी

 

 

Salam ay aamina ke laal ay mahboob-e-subhani LYRICS

Noori Mehfil Pe Chadar Tani Noor Ki Naat Lyrics

Aap Is Tarah To hosh udaya na kijiye ghazal lyrics in urdu hindi and english

HUZOOR MERI TO SARI BAHAR AAP SE HAI NAAT LYRICS

Sabir piya ka urs manayenge lyrics

dua me yaad rakhna in english

Sarkar e Madina Se Nisbat Ho To Aisi Ho Lyrics

Tum Hi Ho Dard e Be Darma Ka Darma lyrics

FURQATE TAIBA KEE WEHSHAT DIL SE JAAYE KHAIR SE NAAT LYRICS

Nabi Ka Zikr Hi Khuda Ka zikr Hai Lyrics

NABI KA LAB PAR JO ZIKR HAI NAAT LYRICS

Nana Hai Lajawab Nawasa Hai Lajawab lyrics

Ek Ghazal Aur Chamakti Si Suna De Noori Naat Lyrics

Aaqa Ke Ghulamo Ko Ab Eid Manane Do Naat Lyrics

TUM PAR LAAKHON SALAAM LYRICS

As Salam e Rasul e Muajjam Naat Lyrics in Hindi

Ai Chehra-e-Zeba-e-Tu Rashk-e-Butaan-e-Aazari Lyrics in Hindi

saday wal mukhra mor lyrics

AAP SHAMME RISALAT HAIN PARWANEY Naat Lyrics

Ab Kya Sochein Kya Hona Hai Lyrics in Hindi

Tarana e Ahle Bait – Ham Haideri Hain Lyrics

Mila Hai Khoob Sahara Ye Zindagi Ke Liye Lyrics

taiba ke jane wale naat lyrics

Suno Ramzan Ki Dastan Ko Suno Lyrics

HASHR MEIN FIR MILENGE MERE DOSTON NAAT LYRICS

Haj Par Bula Maula Lyrics

Batil Ke Jab Jab Badle Hai Tevar Naat Lyrics in Hindi

Yehi Zikr Hai Mera Dam Ba Dam Lyrics

ABBAS TERE DAR SA DUNIYA MAI DAR KAHA NAAT LYRICS

Mere Nabi Sa Koi Saahib e Kamaal Nahi Lyrics

ILAHI MADAD KAR MADAD KI GHARI NAAT LYRICS

 

 

aaKHiri roze hai.n, dil Gamnaak, muztar jaan hai
hasrata wa-hasrata ! ab chal diya ramzaan hai
‘aashiqaan-e-maah-e-ramzaa.n ro rahe hai.n phooT kar
dil ba.Da bechain hai, afsurda rooh-o-jaan hai
dard-o-riqqat se pachhaa.De.n khaa ke rota hai koi
to koi tasweer-e-Gam ban kar kha.Da hairaan hai
al-firaaq, aah ! al-firaaq, ai rab ke mehmaa.n ! al-firaaq
al-wadaa’a ab chal diya tu, ai mah-e-ramzaan hai
daastaan-e-Gam sunaae.n kis ko ja kar aah ! ham
ya rasoolallah ! dekho chal diya ramzaan hai
KHoob rota hai, ta.Dapta hai Gam-e-ramzaan me.n
jo musalmaa.n qadr-daan-o-‘aashiq-e-ramzaan hai
waqt-e-iftaar-o-sahar ki raunaqe.n hongi kahaa.n !
chand din ke baa’d ye saara samaa.n sunsaan hai
haae ! sad afsos ! ramzaa.n ki na ham ne qadr ki
be-sabab hi baKHsh de, ya rab ! ki tu rahmaan hai
kar rahe hai.n tujh ko ro ro kar musalmaa.n al-wadaa’a
aah ! ab tu chand gha.Diyo.n ka faqat mehmaan hai
assalaam, ai maah-e-ramzaa.n ! tujh pe ho.n laakho.n salaam
hijr me.n ab tera har ‘aashiq huaa be-jaan hai
dast-basta iltija hai, ham se raazi ho ke jaa
baKHshwaana hashr me.n, haa.n ! tu mah-e-Gufraan hai
kaash ! aate saal ho ‘Attar ko ramzaa.n naseeb
ya nabi ! meeThe madine me.n, ba.Da armaan hai
Poet:
Muhammad Ilyas Attar Qadri
Naat-Khwaan:
Owais Raza Qadri
Mushtaq Qadri

 

 

آخری روزیں ہیں دل غمناک، مضطر جان ہے
حسرت و حسرتہ، اب چل دیا رمضان ہے

عاشقانِ ماہِ رمضان رو رہے ہیں پھوٹ کر
دل بڑا بے چین ہے، افسُردہ رُوح و جان ہیں

الفراق و ولفراق، اے رب کے مہمان الفراق
الوداع و والوداع، تجھ کو ماہِ رمضان ہے

تیری کرکٹ میں دلِ عاشق تکڑے ہیں ہو گیا
اور سینہ چاک تیرے حجر میں رمضان ہے

داستانِ غم سنایں کس کو جاکر آہ ہم
یا رسول اللہ ﷺ دیکھو، چل دیا رمضان ہے

وقتِ افطار و سحر کی رونقیں ہوں گی کہاں
چند دن کے بعد، یہ سارا سامان سنسان ہے

ہائے سد افسوس رمضان کی، نہ ہم نے قدر کی
بے سبب ہی بخش دے یا رب، کہ تو رحمان ہے

سب مسلمان، الوداع کہتے ہیں، رو رو کر تجھے رمضان
آہ، چند گھڑیوں کا اب تو رہ گیا، مہمان ہے

حسرت و حسرتہ، اب چل دیا رمضان ہے

چند آنسو نظر ہیں، بس اور کچھ پلّے نہیں
نہ وہ روزے رکھیں، نہ وہ نمازیں پڑھیں

Leave a Reply

%d bloggers like this: