Aap Is Tarah To hosh udaya na kijiye ghazal lyrics
Aap Is Tarah To hosh udaya na kijiye
Aap Is Tarah To hosh udaya na kijiye
Yuñ ban sañwar ke samne aaya na kijiye
Ya aadmi ko sar pe bithaya na kijiye
Ya phir nazar se usko giraya na kijiye
Yuñ madh bhari nigah uthaya na kijiye
Peena haraam hai to pilaya na kijiye.
Kahiye to aap mahv hain kis ke khayal mein?
Hum se to baat dil ki chhupaya na kijiye.
Teigh e sitam se kaam jo lena tha le chuke
Ahl e Wafa ka yuñ to safaaya na kijiye.
Ham aap ke ghar aap ka aayeñ hazar baar
Lekin kisi ki baat mein aaya na kijiye.
Uth jayenge hum aap ki mehfil se aap hi
Dushman ke rubaru to bithaya na kijiye.
Dil door hoñ to haath milaane se fayeda?
Rasman kisi se haath milaya na kijiye.
Mahroom hoñ lataafat e fitrat se Naseer
Un Be-hisoñ ko Sher sunaya na kijiye.