allah hoo jalle shaan Lyrics

 

allah hoo jalle shaan Lyrics

 

allah hoo jalle shaan
aye khuda aye rahim aye rehmaan
main teri qibriyaayi ke qurbaan
zindagi teri qayanaat teri
wahdahu la shareek zaat teri

allah hoo jalle shaan
paak muhammad sarware aalam
hain teri pehchaan

harfa o aala zaat hai teri
yakta hai jo baat hai teri
teri sana karte hain maula
jinn o malak insaan

meri khaali jholi bharde
mujhpe karam ki baarish karde
sabki jholi bharde maula
sabki jholi bharne wala tu hi hai sultaan

tu hi maalik tu hi khaalik
saare jahaan ka tu hi raazik
tere naam pe mere aaka
sab kuch hai qurbaan

seedhi raah dikhlaade humko
manzil tak pahunchade humko
tu hi rahbar tu hi manzil
tujhpe hai imaan

hain tere mehboob ki ummat
sab nabiyon mein jiski azmat
jiske sadke mein baksha hai
tune yeh quraan

reham fareedi par yeh karna
mehshar mein ruswa na karna
iski khataaon par na jaana
tu hai bada rahmaan

 

 

Leave a Reply