bann ke aaya hoon sawaali Lyrics

bann ke aaya hoon sawaali Lyrics

bann ke aaya hoon sawaali
tum ho dukhiyon ke waali
bhardo shah e madina
meri jholi hai khaali

ye lutf ye tumhara karam bemisaal hai
ik ik gunahgaar ka tumko khayaal hai
ho mere haal par bhi nigah e karam nawaaz
sarkaar ik nigah e karam ka sawaal hai

sarkaar mujhe de do
jo aaye tabiyat mein

aye mazhar anwaar e haq
aye maslar e asraar e haq
aye sayyad o sardaar e ma

mujhse roothi hai duniya
hai mukhalif zaamaana
mera koi nahi hai
sun lo gham ka fasaana

tere siwa ya muhammad
mera koi nahi hai

besahaara hoon zamaane mein sahaara dijiye
bahr e gham mein meri kashti ko kinaare dijiye
aap hi ka aasra hai ya muhammad mustafa
apni rehmat ka sahaara ab khudaara dijiye

dar ba dar phirta hoon main barbaad hai ab zindagi
gham hi gham hai meri kismat mein nahi koi khushi
koi munis hai na hamdam haal e gham kisko kahun
hai tumhi par naaz mujhko sun lo ya nabi

koi duniya mein nahi mujh bekas o laachaar ka
jaaun toh jaaun kahaan sab ne mujhe thukraa diya
ab tumhara aasra hai bas tumhara aasra
laaj rakhlo ya muhammad hai yeh meri iltija

aade aati hai teri zaat har ek dukhiya ke
laaj rakh lo ya muhammad

khada der se hun dar par mujhe bhikh do khudaara
hayyo laaj bhi tumhari hai fakeer bhi tumhara

ab tumhara aasra hai bas tumhara aasra
laaj rakh lo ya muhammad hai yeh meri iltija

mere sarkaar e aali
tum ho dukhiyon ke waali
bhardo shah e madina
meri jholi hai khaali

haq mein qurbaan hue jo
un dulaaron ka sadka
de do sarkar de do
apne pyaaron ka sadka

ya nabi shabbar ke maadir ka mujhe sadka mila
hazrat e zainat ki chaadar ka mujhe sadka mile

karbala ke bhookhe pyaason ka hai tumko waasta
ya nabi pyare nawaason ka ham tumko waasta

waasta hasnain ka har ik wali ka waasta
ya muhammad aapko maula ali ka waasta

main na chchorunga jaali
tum ho dukhiyon ke waali
bhardo shah e madina
meri jholi hai khaali

apna daaman pasaare jo bhi majboor aaya
usne dar se tumhare aaka sab kuch hai paaya

koi na baat na taali
tum ho dukhiyon ke waali
bhardo shah e madina
meri jholi hai khaali

bhikh paate hain tumse saare shahaane aalam
kyun na aaka tumhari likhein taarif purnam

dekhi shaan niraali
tum ho dukhiyon ke waali
bhardo shah e madina
meri jholi hai khaali

 

Leave a Reply