chalo salaam karein aise aastaane ko Lyrics

chalo salaam karein aise aastaane ko Lyrics

 

 

chalo salaam karein aise aastaane ko
chalo salaam karein
issi ke nakshe kadam ke zarron ne maah o anjum ko noor baksha
issi ke dar ke gadagaron ne insaaniyat ko shaoor baksha
issi ki khaatir toh haq ne sehra ko jalwa e kohatur bakhsha
jo iska gham leke marr gaya hai khuda ne usko zaroor bakhsha

chalo salaam karein aise aastaane ko
hussain paal kar jisne diya zamaane ko

main kya bayaan karoon baab e faatima ka waqar
farishte khalq hue jispe aane jaane ko

wisl bhi aisa ki nok e sina ki manzil par
quran rabb ne diya bolna sikhaane ko

benasl hone ka taana mila jo mursal ko
khuda ne faatima de di nasl badhaane ko

hussain paal kar jisne diya zamaane ko
chalo salaam karein aise aastane ko

 

 

Leave a Reply