Chand Se Unke Chehre Par Ghesu e Mushk Fam Do
Din He Khila Hua Magar Waqte Sahar He Sham Do
Talwo Se Unke Char Chand Lag Gaye Mahromah Ko
He Yeh Unhi Ki Tabishe Aur Hain Unhi Ke Nam Do
Hatho Se Char Yar Ke Hum Ko Milenge Char Jam
Daste Hasan Husain Se Aur Milenge Jam Do
Unki Jabeen E Naz Par Zulf E Siyah Bikhar Gei
Jam’a Hain Ek Waqt Me Jiddain E Subha Wa Sham Do
ZAate Hasan Husain He Ahle Shabeehe Mustafa
Zat Hain Ek Nabi Ki Zat Aur Hain Unhi Ke Nam Do
Ab To Madine Lo Bula Gumbad E Sabz Do Dikha
Hamid O Mustafa Tere Hind Me Hain Ghulam Do
Kalam By Hamid Raza Khan Rehmatullah Alaih