Haider Ka Gharana Karbal Mein Lyrics

Haider Ka Gharana Karbal Mein Lyrics

 

Haider ka gharana karbal me kya zulm anokhe sahta hai
Pyase hein muhammad ke pyare aur samne dariya bahta hai.

 

Dil doob gaya hai baano ka aur khoon ka dariya bahta hai
Jis jhoole me asghar sote the do din se wo khaali rahta hai

Zainab ki nazar hai choukhat par aur kaan lage hein aahat par
Jab koi dulara bahar ho to maa ko khatka rahta hai.

Ae koofiyo kya paaya tumne un par hi sitam dhaya tumne
Jis ghar ka har ik bachcha bachcha sarkar se nisbat rakhta hai.

Ae shimr-e-Layi zalim Tu Ne pyasa hi gala kata tu ne
Bah jaate hein aankhon se aansu wo manzar samne aata hai.

Sajjad shahidon ka gham hai jitna hi likho utna kam hai
Har saal muharram me ghar ghar shabbir ka charcha hota hai.

Haider ka gharana karbal me kya zulm anokhe sahta hai
Pyase hein muhammad ke pyare aur samne dariya bahta hai.

 

Leave a Reply