Hamara Dil Kahin Lagta Nahi Hai Lyrics
Unka hi Tasavvur Hai mahfil ho ya tanhai
Na jaane mujhe unki kya baat pasand
Juda wo Ho Gaye lagta Nahin Hai
Parde mein Magar parda Nahin Hai
Basi Hai aankh mein Surat tumhari
Koi chehra hamen jachta Nahin Hai
Hasin bahut Hain Magar wo to sabse ala Hai
Hamare peer ka duniya mein bol-bala hai
Zamane bhar Ke hasino ka Taj wala Hai
Qasam Khuda Ki hamara Sanam Nirala hai
Koi shahkar Nahin shahkar Se badhkar
Kisi Ka yaar Nahin mere yaar Se badhkar
Judaai aapki tadpa Rahi Hai
Hamara Dil Kahin Lagta Nahi Hai
Zara Si Der Ko Aa Jaiyega
Bahot Din Se Tumhe Dekha Nahi Hai
Tasavvur mein chale aate tumhara kya bigad jata
Tumhara parda reh jata hamen Didar ho jata Bahut din se tumhen dekha Nahin Hai
Ba-Zahir to nazar aate Nahin Ho
Nahin Ho sath tum aisa Nahin Hai
Bahot din se tumhen dekha Nahin Hai