HAQEEQAT AAPKI HAQ JAANTA HE NAAT LYRICS
Wo Wahm o Fahm Se Aaqa Waraa He
Kuch Aisa Aap Ko Haq Ne Banaaya He
Ke Khud Wo Aap Ka Taalib Huwa He
Buland Itna Tujhe Haq Ne Kiya He
Ke Arsh e Haq Bhi Tere Zer e Paa He
Jo Awroñ Ke ‘Uloo Ka Intihaa He
Wo Sarkaari ‘Uloo Ka Ibtidaa He
Khuda Ki Zaat Tuk Tu Hee Rasa He
Kisi Ka Bhi Ye Aali Martaba He
Na He Tum Sa Na Ko-ee Hoga Aage
Na Ay Aaqa Ko-ee Tum Sa Huwa He
Malaa’ik Me, Rusul Me, Ambia Me
Ko-ee Arsh e Ulaa Tuk Bhi Gaya He
Ta’aal-Allah Teri Shaan e Aali
Jalaalat e Shaan Ki Kya Intihaa He
Nikaali Zawraq e Khursheed Doobi
Ishaare Se Qamar ‘Tuk’re Kiya He
Nahiñ Ho Doosra Me Sub Se Baala,
Bus Ek Allah Hee Tum Se Siwa He
Teri Soorat Se He Haq Aashkaara
Khuda Bhaati Teri Har-Har Adaa He
Nahiñ Ho Sakta Tujh Saa Ko-ee Baahar
Ke Tu Hee Mubtada o Muntaha He
Tu He Noor e Khuda Phir Saaya Kaisa
Kaheeñ Bhi Noor Ka Saaya Par’aa He
Tu He Zil’l e Khuda, Wal’laah Bil’laah
Kaheeñ Saaye Ka Bhi Saaya Par’aa He
Zameeñ Par Tera Saaya Kaise Par’ta
Tera Mansoob Arfa’ Daa-ima He
Khuda Ka Fazl e Aazam Aap Par He
Sikhaa Sub Kuch Tumheñ Haq Ne Diya He
Na Min’nat Tum Pe Ustaadoñ Ki Rakhi
Tumhara Ummi Hona Muj’iza He
Hatheyli Ki Tarah Pesh E Nazar He
Huwa Jo Hoga, Jo Kuch Ho Raha He
Na Ko-ee Raaz Ho Posheeda Tum Se
Na Ko-ee Raaz Posheeda Raha He
Chupa Tum Se Rahe Kyuñkar Ko-ee Raaz
Khuda Bhi To Nahiñ Tum Se Chupa He
Musal’lat Ghaib Par Tu Kyuñ Na Hota
Nabi o Mujtaba o Murtadha He
Teri Marzi Raza e Haq He Maula
Raza e Haq Teri Marzi Shaha He
Guzar Tera Huwa He Jis Gali Se
Teri Khushboo Se Har Zar’ra Basa He
Duroodeñ Tum Pe Haq Ki Hoñ Hamesha
Hamaari, Haq Se, Ye Har Dum Dua He
Durood Us Par Ho Jis Par Haq Duroodeñ
Bahr Lahza, Ba Har Dam, Bhejta He
Salaam Us Par Jo He Matloob Rab’b Ka
Salaam Us Par Jo Mahboob e Khuda He
Salaam Us Par Ye Bahr o Bar Haiñ Jis Ki
Salaam Us Par Jo Shaah e Do Sara He
Jis Aaqa Ke Malaa-ik Haiñ Salaami
Jo Shaah e Kursi o Arsh e ‘Ulaa He
Khuda Ki Saltanat Ka Jo He Doolha
Salaam Us Par Jo Rahmat Ka Bina He
Jisay Sang o Shajar Tasleem Karte
Salaam Us Par Jo Aisa Badshah He
Salaam Us Par Jo Aw’wal He Rusul Ka
Salaam Us Par Jo Khatm ul Ambia He
Salaam Aw’wal Ka Aw’wal Par Hamesha
Salaam Baaqi Ho Jub Tuk Baqa He
Salaam Aakhir Ka Aakhir Par Ho Daa-im
Na Bus Aalam Hee Tuk Jis Ko Fana He
Salaam e Zaahir o Baatin Ho Us Par
Jo Zaahir Ho Ke Baatin Ho Gaya He
Salaam Ay Jaan e Rahmat Kaan e Rahmat
Salaam Ay Ke Wo Shaan e Haq Numa He
Rahe Jalwa Tumhara Dil Ke Andar
Mere Pyaare Ye Dil Ka Mud’da’a He
Rahe Pesh e Nazar Wo Roo e Anwar
Tarasti Aankhoñ Ki Ye Iltija He
Sharaab e Deed Se Dil Shaad Kijiye
Hamaare Dard Ki Ye Hee Dawa He
Yaheeñ He Be Thikaanoñ Ka Thikaana
Yahaañ Shah o Gada Sub Ka Th’iya He
Dum e Aakhir Tu Aaja Jaan e Esa
Haiñ Saaqit Nabzeñ Ghungar Bolta He
Dum e Aakhir Chale Aawo Khudara
Dikhaado Marne Waala Jee Raha He
Tere Qadmoñ Me Jis Ko Maut Aa-ee
Hayaat e Jawedaañ Us Ki Qaza He
Hat’aa Dije Rukh e Anwar Se Gaisoo
Andhera Qabr Ka Kaali Balaa He
Dikha Dije Shaha Pur-Noor Chehra
Sifat Me Jis Ki Wash Shams Awr Duha He
Sunghaa Dije Hameñ Wo Zulf Mushkeeñ
Sifat Me Jis Ki Wal Layl Saja He
Tere Qurbaan Ay Zulf e Mu’ambar
Hamaare Sar Hujoom e Bud Balaa He
Mere Sar Se Bala-eñ Door Farma
Balaa-oñ Me Ye Banda Mubtala He
Naheef o Naatawaañ Sarkaar Hum Haiñ
Buhat Sabr Aazma Ye Ibtila He
Pareshaañ Huñ Pareshaani Karo Door
Balaa-oñ Me Ye Banda Mubtala He
Na Kije Door Hum Ko Apne Dar Se
Par’aa Rehne Do Jo Dar Par Par’aa He
Shaheed e Karbala Ka Sadqa De-de
Tu Shaaha Dafa e Karb O Bala He
Pareshaañ Huñ Pareshaani Karo Door
Pareshaañ Sa Pareshaañ Dil Mera
Pareshaani e Watan Ki Yaad Kar Ke
Pareshaañ Dil, Abhi Se Ho Raha He
Pareshaani He Goonaguñ Watan Me
Pareshaañ Unko Farmaa Do To Kya He
Yahaañ Kyuñkar Na Dil Aaraam Paa-e
Jahaañ Aaraam e Jaan o Dil Mera He
Me Ghar Jaawuñ To Un Me Ghir Na Jaawuñ
Yahaañ Bus Ye Tafak’kur Ho Raha He
Rumooz e Maslihat Sarkaar Jaane
Agar Waapas Hee Farmaana Bhala He
Magar Itni Guzaarish Ki Ijaazat
Ye Banda Dast Basta Chaahata He
Hameñ Phir Apne Qadmoñ Me Bulaana
Yahi Maula Ta’aala Se Dua He
Ke Phir Sarkaar Ke Qadmoñ Me Laa-e
Yaheeñ Par Marne Jeene Me Maza He
Qiyaamat He, Qiyaamat He, Qiyaamat
Jidhar Dekho, Udhar Mahshar Bapa He
Zameeñ Taambe Ki He, Sooraj Saroñ Par
Tapish Se Bheyjaa Sar Me Kholta He
Zara Saa Bhi Nahiñ Saaya Kaheeñ Par
Arq Itna Bahaa, Darya Bahaa He
Zubaaneñ Sookhi Haiñ, Kaante Chubay Haiñ
Atash Se Haal Abtar Ho Raha He
Kaleje Munh Ko Aa-e Dum Ghutay Haiñ
Ulat’ Kar Dil Galay Me Aa Raha He
Sarapa Ko-ee To Gharq e Arq He
Kisi Ki Munh Tuk Aa Kar Reh Gaya He
Tarapta He Ko-ee Be-Chain Ho Kar
Ko-ee Gir Kar Zameeñ Par Lowt-taa He
Misaal e Maahi Be Aab Ko-ee
Ko-ee Jal Jal Kebaab Sokhta He
Ajab Ye Kasmapursi Ka He Aalam
Jisay Dekho Bharak’ta Bhaagta He
Zan o Shaw Me Nahiñ Baaqi Ta’aaruf
Na Bha-ee, Bha-ee Ko Pehchaanta He
Na Ko-ee Aaj Haami He Na Yaawar
Kaheñ Kis Se Ke Kaisa Maajra He
Buray Ahwaal Haiñ Us Roz Uf-Uf
Buhat Ahwaal Bah Ka Saamna He
Ko-ee Haampe Ko-ee Kaampe Kara He
Ko-ee Rota Ko-ee Chil-la Raha He
He Daar o Geer Ka Hangaama Barpa
Buhat Sakht Aafatoñ Ka Saamna He
Rusul Bhi Nafsi-Nafsi Keh Rahe He
Himaayat Ka Kisay Ab Aasra He
Bandhegi Aas Apni Ba’ad Har Yaas
Usee Se Jo Humaara Aasra He
Usee Ke Paas Sub Pahunchenge Aakhir
Wo Jis Ka Naam e Naami Mustafa He
Shafa’at Ka Usee Ke Sar He Sahra
Wahee Is Bazm Ka Doolha Bana He
Chalo Ay Aasiyo! Kyuñ Kar’h Rahe Ho
Wo Mahboob e Khuda Jalwa Numa He
Malul Ay Ghamzado Tum Kis Liye Ho
Wo Pyaara Mustafa Jub Ghamzuda He
Suneñge Sun-ne Waale ‘Idhaboo’, Ke
Zubaan e Paak Par ‘In-ni Lahaa’ He
Mazaalim Kar Leñ Jitne How’weñ Zaalim
Na Kar Gham Noori, Ke Apna Bhi Khuda He