kaliyar ke dhani ganj e shakari Lyrics

 

kaliyar ke dhani ganj e shakari Lyrics

 

kaliyar ke dhani ganj e shakari
jalwa dikha do sabiri makhdoom saabir kaliyari
ho jaye haj e akbari makhdoom saabir kaliyari

khaata hun main teri kasam bisi yaar khugar deeda um
lekin to cheez e dighari makhdoom saaabir kaliyari

ho salbara ki aal ho ganj e shakar ke laal ho
tum noor noor e haidari makhdoom saabir kaliyari

kaliyar ke dhani ganj e shakari makhdoom ali ahmad saabir
kar mo pe kabhi kirpa najari makhdoom ali ahmad saabir

to pe waar diya tann mann apna more prem ki laaj piya rakhna
tora naam japun dagari dagari makhdoom ali ahmad saabir

maine jag se naata tod liya tore dar se rishta jod liya
more mann mein basi kaliyar nagri makhdoom ali ahmad saabir

tori soorat ke balihaar gayi tori tirchchi nazariya maar gayi
mohe bhool gayi sudh budh sagri makhdoom ali ahmad saabir

aye ganj e shakar ke raaj kunwar more nain daras bin tarasat hain
chalke hain more mann ki gagri makhdoom ali ahmad saabir

Leave a Reply

Scroll to Top
%d bloggers like this: