Karta Hai Ek Raviye Dil Soz Ye Bayañ

Karta Hai Ek Raviye Dil Soz Ye Bayañ

 

Karta Hai Ek Raviye Dil Soz Ye Bayañ
Ramzan Ke Mahine Ki Mash’hoor Dastañ.

 

Mulk e Yaman Mein Ladka Tha Ek 8 Sal Ka
Charcha Tha Shahar Shahar Mein Jiske Jamal ka.

 

Roza Khuda Ke Naam Pe Rakhne Ka Shauq Tha
Ramzan Ka Jo Chand Nazar Usko Aa Gaya.

 

Kahne Laga Ye Maañ Se Ke Roza Rakhunga Main
Mujhko Jagaana Raat Mein Sehri Karunga Main.

 

Bacche Ki Baat Ka Na Kiya Maañ Ne Kuchh Khayal
Ladka Jo Sub’ha Utha To Usko Hua Malal.

 

Samjhaya Maañ Ne Aye Mere Dilbar Na Kar Malaal
Roja Nahin Hai Farz abhi Tujh pe Mere Laal.

 

Masoom Dil Pe Theis Lagi Maañ Se Yuñ Kaha
Ammi Suno Ye Kahta Hai Qur’aan Meiñ Khuda.

 

Roze Ki Bhookh Pyas Ka Jo Gham Uthaega
Us Roza Daar Ko Na Jahannum Jalayega.

 

Qur’aan Ka Nuzool Isi Maah Mein Hua
Tauba Qubool Karta Hai Is Maah Mein Khuda.

 

Al Qissa Raat Aayi To Wo Jagata Raha
Kahna Kisi Ka Kuchh Na Suna Roza Rakh Liya.

 

Sehri Wo Karke So Gaya Aur So Ke Jab Utha
Bete Ka Maatha Choom Ke Maadar Ne Ye Kaha.

 

Roza Na Rakh Sakega Tu Zid Apni Chhod De
De Dooñgi Apna Roza Tujhe Roza Tod De.

 

Ladka Ye Bola Khaana Main Hargiz Na Khauñga
Apne Khuda e Paak Ko Kya Munh Dikhaunga !

 

Dopahar Dhal Ke Asr Ka Jab Waqt Aa Gaya
Pani Baghair Pyas Se Khushk Ho Gaya Gala.

 

Seene Mein Saañs Ruk Gai Chakkar Se Aa Gaya
Kamsin Tha Naazneen Tha Chakara Ke Gir Pada.

 

Harkat Jo Dil Ki Band Hui Aankh Jhuk Gai
Nabzeñ Idhar Rukeeñ To Udhar Saañs Ruk Gai.

 

Maañ Ne Kaha Pukar Ke Masoom Chal Diya
Aftar Ki Khushi Se Bhi Mahroom Chal Diya.

 

Maan Baap Laash Dekhte The Apne Lal Ki
Maiyat Padi Thi Samne Ik Aath(8) Saal Ki.

 

Aakhir Ko Roza Kholne Ka Waqt Aa Gaya
Donoñ Ne Gham Mein Bete Ke Khaya, Na Kuchh Piya.

 

Naagaah Aa Ke Dar Per Sawali Ne Di Sada
Saail Ki Shakal Mein Tha Farishta Khada Hua.

 

Awaaz Di Ke Le Lo Faqeeroñ Ki Tum Dua
Main Bhi Hun Rozadar To Allah Ke Naam Ka.

 

Jis Dam Suni Faqir Ki Donon Ne Ye Sada
Aftar Ko Jo Rakha Tha Saail Ko De Diya.

 

Saayil Ne Bheek Le Ke Kaha Maajra Hai Kya?
Maatam Hai Ghar Mein Kaisa Ye Mujhko Bhi Do Bata.

 

Saail Ko Apne Saath Pidar Ghar Mein Le Gaya
Farzand Ke Janaze Ko Laa Kar Dikha Diya.

 

Bacche Ki Lash Dekh Ke Saail Ne Kuchh Padha
Seene Pe Hath Rakh Ke Ye Murde Ko Di Sada.

 

Aye Nanhe Rozadar Tu Ab Roza Khol Le
Ghamgeen Maa Khadi Hai Zara Maa Se Bol Le.

 

Jumbish Laboñ Pe Hone Lagi Aankh Khol Di
Bachche Ko Zinda Dekhkar Madar Lipat Gai.

 

Saail Ye Keh Ke Aankhoñ Ru-posh Ho Gaya
Bheja Hua Main Aaya Tha Parvardigaar Ka.

 

Tha Imtihañ Ka Waqt Musibat Ki Ye Ghadi
Jo Us Per Jaan Dete Hain Marte Nahin Kabhi.
Marte Nahin Kabhi..

 

 

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply