mere haath mein tera haath hai Lyrics

mere haath mein tera haath hai Lyrics

 

mere haath mein tera haath hai
mehki hui har raat hai
pyar se do dil mile
sapnein hain khile khile
tere mere pyar ka yeh rishta kabhi na toote
hamse zamaana chaahe roothe

dil tumhi ho meri manzil tumhi ho
duniya ko bhool jaaun main tere pyaar mein
saamne bitha ke tujhe pyaar karun
pooja teri main mere yaar karun
dekhe yeh zamaana
o mere jaane jaana
sang rahe apna

mere mann mein o dilbar tann badan mein
aag lagaane lagi thandi thandi yeh hawa
ankhiyon mein nasha sa hai chhaane laga
pyar mera dil behakaane laga
dil hai bekaabu
chal gaya jaadu
aa gale lag jaa

pyar se maange jo tu jaan meri
jaan kya hai tum pe zamaana saara waar dun
pyar ki umangon ko jagaaya tune
jabse hai apna banaaya tune
yeh chehra tumhara hai jeene ka sahaara
aur kahun main kya

 

 

Leave a Reply