more nain piya sang laag rahe lyrics

more nain piya sang laag rahe lyrics

 

 

more nain piya sang laag rahe
lakdi jal kar koyla bhayi
koyla jal bhayi raakh
main paapan aisi jali
na koyla bhayi na raakh

haath chhuraawat jaat ho
jo dil bin jaan ke mohe
hirdey mein se jaao to
tab main jaanu tohe

aa piya in nainan mein
main palak dhamp tohe loon
na main dekhun gair ko
na main tohe dekhun doon

saajan ham tum ek hain
kehan sunan mein do
mann ko mann se toliye
to do mann kab hun na ho

more nain piya sang laag rahe
mohe hosh nahi ab tann mann ki

gar naar gawaar kahe jo kahe
laage nain piya sang

jis tann laage so tann jaane
laage nain piya sang

saath na piya jiyara jalaaye
baat koi samjhaaye bujhaaye

mori sudh budh bidgi bisar gayi
laage nain piya sang

kaaga sab tann khaayiyo
jo chun chun khaayiyo maas
do naina mat khaayiyo
kyunki laage nain piya sang

more nain piya sang laag rahe
mohe hosh nahi ab tann mann ki
main sudh budh apni bhool gayi
mukh dekh ke apne saajan ka

apni chhab bana ke jo main pi ki chhab dekhan gaye
jab dekhi chhab pi ki mohe apni bhool gayi

mori thaam ke bayiyaan preetam ne
mori maili chunariya rang daali
main aaj suhaagan bann baithi
mohe rang laga mann mohan ka

tarpa ke mohe khud tarpat hai
saajan ki suratiya dekhan ko
mohe sagri rain jagaawat hai
kya haal kahun ab nainan ka

main paap ki dhoop se darti hoon
mohe door na rakhiyo ab sayiyaan
main tore charan se laagi hoon
mo pe saaya rakhiyo daaman ka

kar mo pe daya kirpa ke dhani
tum aad sakhi ho kya tumhein parwah daulat dhan ki
daya karo mori jholi bhar do jai ho tumhare paak pattan ki

tumri daya ki sunn ke khabariya
aan padi hoon main tori dehariya

paak pattan ke baanke sayiyaan
ganj shakar mori pakro bayiyaan

niguri nahi ab kaise nibahun
tum binn kis ko haal sunaaun
tumhi kaho ke ab kit jaaun
tum hi kaho maharaj
karo mo pe daya ya ganj shakar maharaja

kar mo pe daya kirpa ke dhani
main kab se rasta dekhat hoon
more nain daras bin tarsat hain
aa bhaag jaga more aangan ka

kabhi supne mein darsan dekha jaao
more nain tarsat hain

aao more angna
main tohe garwa lagaun
aankhon pe baithaun
balihar main jaaun
tori leke balayiya

more nain daras bin tarsat hain
aa bhaag jaga more aangan ka

 

 

Leave a Reply