more saiyan to hain pardes Lyrics

more saiyan to hain pardes Lyrics

 

more saiyan to hain pardes
saawan aaya rimjhim saamne aaye baadal kaare kaare
matware more angana jhoom ke ghir ghir aaye
undhi undhi dekho mast ghatayein
phur phur aaj udaayein aaj wohra sard hawaayein
daari daari pe bhawra ghoom ke
aaye kaliyon ke mukhde choom ke
jiya mora jalaaye haaye re pyari pyari rut saanwali

more saiyan to hain pardes
main kya karun saawan ko
suna laage sajan bin des
main dhoondhun saajan ko

dekhun raahein chad ke atariya
jaane kab aa jaayein sanwariya
jab se gaye mori li na khabariya
chchoota panghat phooti gagariya

suna laage sajan bin des
main dhoondhun saajan ko
more saiyan to hain pardes
main kya karun saawan ko

kyun pehnu main pag mein paayal
mann to hai mujh birhan ka ghaayal
neend se khaali mori ankhiyan bojhal
rote rote eh gaya kaajal

suna laage sajan bin des
main dhoondhun saajan ko
more saiyan to hain pardes
main kya karun saawan ko

 

Leave a Reply