Muhammad Mustafa aaye baharon par bahar aayi Lyrics

Muhammad Mustafa aaye baharon par bahar aayi Lyrics

 

Muhammad Mustafa aaye baharon par bahar aayi
Zamin ko chumne Jannat ki khushbu bar bar aayi

Janabe Amena ka chand jab chamka zamane mein
Qamar ki chandani qamon pe hone ko nisar aayi

Halim Do jahan qurban hon Tere Mukaddar par
Tere kacche se Ghar mein Rehmate Parwardigar aaye

Badi mayus thi dayi Halima jab gayi Makke
Magar aayi to lekar Do Jahan ka Tajdar aayi

Jabi to hai mahek utthi ye alam ki faza sari
Hai gaisu chumkar unke Nasime Khushgawar aayi

Wo aaye to manadi ho gayi Aqsa zamane mein
Wo aaye to manadi ho gayi Sayim zamane mein
Bahar aayi Bahar aayi Madine mein bahar aayi

 

Leave a Reply

%d bloggers like this: