NOOR E AHMED KI ZIYAA HAI MASLAK E AHMED RAZA NAAT LYRICS

NOOR E AHMED KI ZIYAA HAI MASLAK E AHMED RAZA NAAT LYRICS

 

Noor-E-Ahmed Ki Ziyaa Hai, Maslak-E-Ahmed Raza
Shama-E-Deen-E-Mustafa Hai, Maslak-E-Ahmed Raza

Log Kehte Hain Ke Kya Hai ?Maslak-E-Ahmed Raza
Maslak-E-Ahmed Raza Hai,Maslak-E-Ahmed Raza

Mazhab-E-Hanfi Ho Ya Ho, Mashrab-E-Ghous-O-Ali
Hum Talak Pahuncha Raha Hai,Maslak-E-Ahmed Raza

Rab Ko Maano Aur Habeeb-E-Rab Se Tum Ulfat Karo
Haan Yahi To Keh Raha Hai,Maslak-E-Ahmed Raza

Yeh Sikhata Hai Shariat Aur Tareeqat Ke Usool
Deen-O-Imaa’n Ki Jilaa Hai,Maslak-E-Ahmed Raza

Fi Zamana Sunniyat Ki Bus Yahi Pehchaan Hai
Sikka Rayej-Ul-Waqt Ka Hai,Maslak-E-Ahmed Raza

Poori Sunni Duniya Mein, Sachche Aqeede Ke Liye
Ibtida Aur Intiha Hai, Maslak-E-Ahmed Raza

Aalahazrat Ka Yeh Ahsaa’n Hum Musalmano Pe Hai
Ishq-E-Ahmed De Raha Hai,Maslak-E-Ahmed Raza

Naam Ke “Sayyed” Jo Jalte Hain Raza Ke Naam Se
Unke Dil Mein Chubh Raha Hai,Maslak-E-Ahmed Raza

Samna Hota Hai Jab Bhi Dushmanaan-E-Deen Se
Dhaal Banker Aa Gaya Hai,Maslak-E-Ahmed Raza

Murshid-E-Marehra Ne Nisbat Raza Ko Aisi Di
Sharah-E-Deen-E-Haq Bana Hai,Maslak-E-Ahmed Raza

“Nazmi” Tumko Kiyon Na Barkaati Raza Per Naaz Ho
Tum Ne Ghutti Mein Piya Hai,Maslak-E-Ahmed Raza.

Leave a Reply