QALB KO US KI ROOYAT KI HE AARAZU LYRICS

QALB KO US KI ROOYAT KI HE AARAZU LYRICS

 

Qalb Ko Uski Rooyat Ki He Aarazu
Jiska Jalwa He Aalam Me Har Chaar Su
Balke Khud Nafs Me He Wo Subhanuhu
Arsh Par He Magar Arsh Ko Justaju
Allahu Allahu Allahu Allahu

Arsh o Farsh o Zamaan o Jahat Ay Khuda
Jis Taraf Dekhta Huñ He Jalwa Tera
Zar’re-Zar’re Ki Aankhoñ Me Tu Hee Zia
Qatre-Qatre Ki Tu Hee To He Aabru
Allahu Allahu Allahu Allahu

Tu Kisi Jaa Nahiñ Awr Har Jaa He Tu
Tu Munaz’zah Makaañ Se Mubar’ra Ze Su
Ilm O Qudrat Se Har Jaa He Tu Ku Ba Ku
Tere Jalwe He Har-Har Jaga Ay ‘Afu
Allahu Allahu Allahu Allahu

Saare Aalam Ko He Teri Hee Justaju
Jinn O Ins O Malak Ko Teri Aarazu
Yaad Me Teri Har Ek He Su Ba Su
Ban Me Wahshi Lagaate Haiñ Zarbaat e Hu
Allahu Allahu Allahu Allahu

Naghma Sanjaan e Gulshan Me Charcha Tera
Chehchahe Zikr e Haq Ke Haiñ Subh o Masaa
Apni-Apni Chehek Apni-Apni Sadaa
Sub Ka Matlab He Waahid, Ke Waahid He Tu
Allahu Allahu Allahu Allahu

Taa’iraan e Jinaañ Me Teri Guftagu
Geet Tere Hee Gaate Haiñ Wo Khush Gulu
Ko-ee Kehta He Haq, Ko-ee Kehta He Hu
Awr Sub Kehte Haiñ ‘Laa Shareeka La Hu’
Allahu Allahu Allahu Allahu

Bulbul e Khush Nawa Tooti e Khush Gulu
Zamzamah Khwaañ Haiñ Gaate Haiñ Naghmaat e Hu
Qumri e Khush Liqa Boli Haq Sir’ruhu
Faakhta Khush Ada Ne Kaha Dost Tu
Allahu Allahu Allahu Allahu

Subh O Dam Kar Ke Shabnam Se Ghusl O Wuzu
Shaahidaan e Chaman Bastah Saf Ru Ba Ru
Wird Karte Haiñ Tasbeeh Subhaanuhu
Hu Wa Laa Ghairuhu, Hu Wa Laa Ghairuhu
Allahu Allahu Allahu Allahu

Har Nihaal e Chaman Zikr Se He Nihaal
Zikr e Haq Ye Usay Karta He Maala Maal
Zikr Se Chook Kar Hota He Wo Nid’haal
Zikr Hee Tera He Uski Wajh e Namu
Allahu Allahu Allahu Allahu

Wo Bhi Tasbeeh Se Rakhta He Isthighaal
Jo Nahiñ Rakhta Munh Awr Lisaan e Maqaal
Phir Bhi Goya-e Tasbeeh He Us Ka Haal
Uski Haali Zabaañ Kehti He Tu Hee Tu
Allahu Allahu Allahu Allahu

Jo He Ghaafil Tere Zikr Se Dhul-Jalaal
Us Ki Ghaflat He Us Par Wabaal o Nakaal
Qe’r e Ghaflat Se Ko Khudaya Nikaal
Hum Hoñ Zaakir Tere Awr Mazkoor Tu
Allahu Allahu Allahu Allahu

He Zabaañ e Jahaañ Hamd e Baari Me Laal
Dum Ko-ee Hamd Ka Maare Kis Ki Majaal
Ta Ba Imkaan Hum Rakhte Haiñ Qeel o Qaal
Us Ko Maqbool Farma Le Rahmat Se Tu
Allahu Allahu Allahu Allahu

Bhar De Ulfat Ki May Se Humaara Suboo
Dil Me, Aankhoñ Me Tu, Awr Lub Par Ho Tu
Kaif Me Wajd Karte Phireñ Ku Ba Ku
Wird Gaaya Kareñ Pe Ba Pe, Su Ba Su
Allahu Allahu Allahu Allahu

‘Afw Farma Khata-eñ Meri Ay ‘Afu
Shawq O Tawfeeq Neyki Ka De Mujh Ko Tu
Jaari Dil Kar Ke Har Dum Rahe Zikr Hu
Aadat e Bud Badal Awr Kar Neyk Khu
Allahu Allahu Allahu Allahu

Bud Huñ Maula Mere Mujh Ko Kar De Neyku
Rakht e A’maal He, Chaak Farma Rafu
Teri Rahmat Ki Umeed He Ay ‘Afu
Ke He Irshaad e Qur’an ‘Laa Taqnatu’
Allahu Allahu Allahu Allahu

Daakhil e Khuld Hum Ko Jo Farmaa-e Tu
Hum Hoñ Awr Hoor o Ghilmaañ Lab e Aab e Ju
Awr Jaam e Tahoor Awr Meena Subu
Dekheñ A’daa To Rah Jaa-eñ Pee Kar Lahu
Allahu Allahu Allahu Allahu

Thandi-Thandi Naseemeñ Chaleñ Mere Rab’b
FItnoñ Ki Dhool Se Paak Ho-we Arab
Aisa Barsa Bahaa De Jo Khaashaak Sub
Teri Rahmat Ke Baadal Ghireñ Chaar Su
Allahu Allahu Allahu Allahu

Rahm Farma Khudaya, Haram Paak Ho
Tu Ne Taqdees Bakhshi He Jis Khaak Ko
Daf’aa Farma, Wahaañ Par He Be-Baak Jo
Awr Gira Bijliyaañ Qahr Ki Bar ‘Adu
Allahu Allahu Allahu Allahu

Noor Ki Teri He Ek Jhalak Khoobru
Dekhe Noori To Kyuñkar Na Yaad Aa-e Tu
Unka Sarwar He Mazhar Tera Hu Ba Hu
Man Ra-aani Ra-al Haq, He Haq Mu Ba-Mu
Allahu Allahu Allahu Allahu

Khwaab e Noori Me Aa-e Jo Noor e Khuda
Buq’aa e Noor Ho Apna Zulmat Kada
Jagmaga Uth’thay Dil, Chehra Ho Pur Zia
Nooriyoñ Ki Tarah Shagl Ho Zikr e Hu
Allahu Allahu Allahu Allahu

Leave a Reply

%d bloggers like this: