TERE JAD’D KI HAI BAARHWEEÑ GHAUS-E-AZAM

TERE JAD’D KI HAI BAARHWEEÑ GHAUS-E-AZAM

Tere Jad’d Ki Hai Baarhweeñ Ghaus-e-Azam
Mili Hai Tujhe Gyarhweeñ Ghaus-e-Azam

Ko-ee Un Ke Rutbe Ko Kya Jaanta Hai
Muhammad Ke Haiñ Janasheeñ Ghaus-e-Azam

Tu Hai Noor-o-Aa-ina-e-Mustafa-i
Nahiñ Tujh Sa Ko-ee Haseeñ Ghaus-e-Azam

Huwe Awliya Zee Sharaf Gar Che Laakhoñ
Magar Sab Se Haiñ Behtareeñ Ghaus-e-Azam

Jahaañ Awliya Karte Haiñ Jab-ha Saa-i
Wo Baghdad Ki Hai Zameeñ Ghaus-e-Azam

Tere Rauza-e-Paak Ke Dekhne Ko
Tar’apta Hai Qalb-e-Hazeeñ Ghaus-e-Azam

Mujhe Bhi Bula Lo Khudara Ke Maiñ Bhi
Ghisooñ Aastaañ Par Jabeeñ Ghaus-e-Azam

Mere Qalb Ka Haal Kya Poochte Ho
Ye Dil Hai Makaañ Awr Makeeñ Ghaus-e-Azam

Jo Ahl-e-Nazar Haiñ Wahi Jaante Haiñ
Ke Har Dam Haiñ Sab Se Qareeñ Ghaus-e-Azam

Hamaari Bhi Lil’laah Bigr’i Bana Do
Ghulaamoñ Ke Tum Ho Mu’eeñ Ghaus-e-Azam

Haiñ Gheray Huwe Chaar Jaanib Se Dushman
Khudara Bacha Mera Deeñ Ghaus-e-Azam

Ch’hupa Le Mujhe Apne Daaman Ke Neeche
Ke Gham Ki Ghata-eñ Ut’heeñ Ghaus-e-Azam

Wo Hai Kaun Saa Un Ke Dar Ka Bhikaari
Madadgaar Jis Ke Nahiñ Ghaus-e-Azam

Husain-o-Hasan Ki Tu Aankhoñ Ka Tara
Wo Khaatim Haiñ Awr Tu Nageeñ Ghaus-e-Azam

 

Hukoomat Teri Naafiza Hai Ke Haq Ne
Tujhe Di Hai Fath-e-Mubeeñ Ghaus-e-Azam

Tujhe Sab Ne Jaana Tujhe Sab Ne Maana
Teri Sab Meiñ Dhoomeñ Macheeñ Ghaus-e-Azam

Tu Wo Hai Tere Paak Talwe Ke Aage
Khicheeñ Gardaneñ Jhuk Gayeeñ Ghaus-e-Azam

Na Thay Awliya Mutlaqan Jis Se Waaqif
Tujhe Ne’mateñ Wo Mileeñ Ghaus-e-Azam

Teri Zaat Se Ay Shari’at Ke Haami
Tariqat Ki Ramzeñ Khuleeñ Ghaus-e-Azam

Shari’at, Tariqat Ke Har Silsile Meiñ
Haiñ Teri Hee Nahreñ Baheeñ Ghaus-e-Azam

Salaasil Ki Sab Manziloñ Meiñ Hai Phayli
Teri Roshni Bil-Yaqeeñ Ghaus-e-Azam

Gham-o-Ranj Meiñ Naam Tera Liya Jab
To Kaliyaañ Diloñ Ki Khileeñ Ghaus-e-Azam

Karam Gar Karo Mere Madfan Meiñ Aawo
To Ho Qabr Khuld-e-Bareeñ Ghaus-e-Azam

Ilaahi Tera Kalima-e-Paak Mujh Ko
Sikha-eñ Dam-e-Waapasi Ghaus-e-Azam

Ba-Soo-e-JAMEEL Az Nigaah-e-‘Inaayat
Babeeñ Ghaus-e-Azam Babeeñ Ghaus-e-Azam

 

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply