tu qalandar hai waliyon ka sultan hai Lyrics

tu qalandar hai waliyon ka sultan hai Lyrics

 

 

tu qalandar hai waliyon ka sultan hai
ek firdaus ki haqeeqat kya
jannatein behisab dekhi hain
noori bori ke aastaane par
rehmatein benaqaab dekhi hain

aye noori bori waale kya teri dilbari hai
allah aashiqon se mehfil teri bhari hai
teri har ik nigah mein rashq e sikandari hai
kya khoob do jahaan mein teri qalandari hai

tu qalandar hai waliyon ka sultan hai
gair ko dekha na gairon ki nazar dekhi hai
meri nazaron ne faqat teri nazar dekhi hai

na takh o taaj mein na lashkar o sipah mein hai
jo baat mard e qalandar ki baargaah mein hai

ham besahaara aa gaye tujhko sahaara jaan kar
tu hai sakhi ibne sakhi lutf o karam ka daan kar

kya tujhko bataun kya dekh liya hai
hamne to sanam tujh mein khuda dekh liya hai

ham bhala qaabe mein jaayein to bhala kyun jaayein
qaaba kadmon mein tere jhuka dekh liya hai

tu qalandar hai waliyon ka sultan hai
noori bori wale teri kya shaan hai

marhaba ladla hai tu hasnain ka
tu wali paak hai ghaus zeeshaan hai

ghaus ul azam bhi hain aaj aaye hue
urs mein har wali tera mehmaan hai

teri soorat mein jalwe muhammad ke hain
teri soorat muhammad ki pehchaan hai

aye kitab e khuda tera roo e haseen
mushafe rukh tera misl e quran hai

jo nigahe karam se nawaaza hamein
ye teri zaat ka ham pe ehsaaan hai

apna deewaana tune banaaya jise
tujhpe sadke hai wo tujhpe qurbaan hai

tere nusrat ko hasrat hai deedaar ki
deed ki chashme purnam ko armaan hai

 

Leave a Reply