tu sitamgaar hai main sitamaashna Lyrics

 

Tu sitamgaar hai main sitamaashna Lyrics

 

tu sitamgaar hai main sitamaashna
raazdaaron se bach ke chalta hoon
ghamgusaaron se bach ke chalta hoon
mujhko dhokha diya sahaaron ne
ab sahaaron se bach ke chakta hoon

sheeraza e hayaat pareeshaan ho gaya
yeh marhala bhi khair se aasaan ho gaya
mere sukoon e dil ko toh hona ho tabah
unki bhi ik nigah ka nuksaan ho gaya

shab e gham ki sahar nahi hoti
ho bhi toh mere ghar nahi hoti
zindagi tu hi mukhtasar ho ja
shab e gham mukhtasar nahi hoti

bhool ho jaati hai yun taaish mein aaya na karo
faasalein khatam karo baat badaaya na karo
teri raahon ke ishaare yeh adaayein tauba
in sharaabon ko sarre aam lutaaya na karo

saamp zehri ho toh kuch waar hasin hoti hai
saaya e zulf ko chehre se hataaya na karo

tu sitamgaar hai main sitamaashna
ranj mein muskuraana mera kaam hai

zakhm par zakhm de na zara bas chala
zakhm hasn hasn ke khaana mera kaam hai

aa idhar tujh pe qurban mera junoon
apne hisse ki khushiyaan tujhe bakhsh doon

tu sitamgar hai phir bhi mera dost hai
dost ke kaam aana mera kaam hai

dil pe gin gin ke dhaana sitam pe sitam
aur phir yaad rakhna mera kaam hai

dil pe gin gin ke tere sitam jhelna
aur phir bhool jaana mera kaam hai

 

Leave a Reply