Wafa taraaz wafa aashna bhi hote hain

Wafa taraaz wafa aashna bhi hote hain

 

 

Wafa taraaz wafa aashna bhi hote hain
Dubone wale bhanwar nakhuda hote hain

Hamari husn parasti pe aitraz na kar
Sanam parat khuda aashna bhi hote hain

Janab e Musa ko jakar ke ye khabar kar do
Woh mehrbañ hi nahi hain khafa bhi hote hain

Chadha do daar pe mujhko agar ghalat hun main
Mera yaqeeñ hai ke bande khuda bhi hote hain.

 

Aap thehre hain to thahra hai nizam e aalam
Aap guzre hain to ik mauj e rawaañ guzri hai

Gar che sau laakh gham e Hijr se jaañ guzri
Magar jo dil pe guzarni thi kahan guzri hai

Hosh me aaye to batlaye tera deewana
Din kahan guzre hain aur raat kahan guzri hai

Hashr ke baad bhi deewane tere poochhte hain
Woh Qayamat jo guzarni thi kahan guzri hai !

 

Zaahir ghame jaana ka asar hone na denge
Royeñge magar Aankh bhi tar hone na denge

Dekhenge sare bazm mohabbat se magar
Mehsoos mohabbat ki nazar hone na denge

Is daure hawadis mein bhi aye jaane baharañ
Veerañ teri yaadoñ ka nagar hone na denge.

 

Had e junuñ se aage guzarne lage hain hum
Marne se peshtar hi marne lage haiñ hum

Jal jaye jisko dekh ke dozakh ki aag bhi
Daaman ko aisi aag se bharne lage hain hum

Shayad ke koi zarra bhi un tak pahunch sake
Ban ke jahan me khaak bikharne lage hain hum.

 

Sanbhal Aye Dil Kisi Ka Raaz Be Parda Na Ho Jaye

Baat kah dooñ to baat jaati hai
Chup rahuñ gar to raat jati hai.
Wadiye najd se phir-kar jo hawa aati hai
Aaj tak qais ke kehne ki sada aati hai.

Sanbhal Aye Dil Kisi Ka Raaz Be Parda Na Ho Jaye..

 

Saari duniya mujhe kehti tera saudayi hai
Ab mera hosh mein aana teri ruswayi hai.

Sanbhal Aye Dil Kisi Ka Raaz Be Parda Na Ho Jaye..

 

Ye tai hua ke tujhe hashr tak bhulana nahi
Hai iltamaas ke ay hashr tujh ko aana nahi.

Sanbhal Aye Dil Kisi Ka Raaz Be Parda Na Ho Jaye

 

Kya husn e ittifak hai ke unki gali me hum
Ik kaam se gaye the, ab har kaam se gaye.

Sanbhal Aye Dil Kisi Ka Raaz Be Parda Na Ho Jaye

 

Zabt karta Hooñ to ghuTta hai qafas me mera dum
Aah karta hooñ to sayyad khafa hota hai.

Sanbhal Aye Dil Kisi Ka Raaz Be Parda Na Ho Jaye

 

Aah karta Hooñ to har zakhm lahu deta hai
Naala karta hoon to andesha e ruswayi hai.

Sambhal Aye Dil Kisi Ka Raaz Be Parda Na Ho Jaye..

 

Na tum aaye shab e waada pareeshañ raat bhar rakha
Diya ummeed ka maine jalaaye taa sahar rakha
Koi us taair e majboor ki bechargi dekhe
Qafas me bhi jise sayyad ne be baal o par rakha.

Sambhal Aye Dil Kisi Ka Raaz Be Parda Na Ho Jaye..

 

Kuchh yaad karke aankhon se aansoo nikal pade
Muddat ke baad guzre jo unki gali se hum.

Sambhal Aye Dil Kisi Ka Raaz Be Parda Na Ho Jaye..

 

Majboor hoke khoon e jigar pee rahe hain hum
Be kaif zindagi hai magar ji rahe hain hum.

Sambhal Aye Dil Kisi Ka Raaz Be Parda Na Ho Jaye..

 

Zindagi mein do hi lamhe mujh pe guzre hain kathin
Ik tere aane se pahle ik tere jaane ke baad.

Sambhal Aye Dil Kisi Ka Raaz Be Parda Na Ho Jaye..

 

Sambhal Aye Dil Kisi Ka Raaz Be Parda Na Ho Jaye
Ye Deewanoñ Ki Mehfil Hai Koi Ruswa Na Ho Jaye.

 

Sahra mein koi door se bocha jo utha
Qais samjha meri Laila ki sawari aayi.

Ye Deewanoñ Ki Mehfil Hai Koi Ruswa Na Ho Jaye.

 

Aisa gum hoon teri yaadon ke biyabanoñ mein
Dil na dhadke to sunayi nahi deta kuchh bhi.

Ye Deewanoñ Ki Mehfil Hai Koi Ruswa Na Ho Jaye.

 

Dikha Doonga Zamane Ko Tamasha Apni Wahshat Ka
Magar Hai Baat Itni Yaar Tu Ruswa Na Ho Jaye.

 

Dar lagda sajan na rus javey
Nayi te tera harsh hila dewa.

Magar Hai Baat Itni Yaar Tu Ruswa Na Ho Jaye.

 

Raaz ko raaz hi rahne de teri azmat ba khair
Warna apne aap ko bhi sajda kar sakta hoon Maiñ.

Magar Hai Baat Itni Yaar Tu Ruswa Na Ho Jaye.

 

Butkada mein kiye jo sajde mera qusoor nahi
Tum ne kab kaha hai ke Maiñ yahañ maujood nahin.

Magar Hai Baat Itni Yaar Tu Ruswa Na Ho Jaye.

 

Har baat mein mujhi ko na thehra kusoorwar
Tu bhi to mere saath tha shamil jagah jagah.

Magar Hai Baat Itni Yaar Tu Ruswa Na Ho Jaye.

 

Wo Shayad Is Liye Aate Nahi Gor e Gharibañ Par
Kahin Thokar Na Lag Jaye Koi Zinda Na Ho Jaye.

 

Meri turbat pe hai angusht-ba-dandañ koi
Hai mujhe khaak mein mila ke pashemañ koi.

Kahin Thokar Na Lag Jaye Koi Zinda Na Ho Jaye.

 

Woh sitamgar nahi chahta ke nishañ baaqi ho
Aye azizo meri turbat na banao, chhodo.

Kahin Thokar Na Lag Jaye Koi Zinda Na Ho Jaye.

 

Ye farmaya, jo aaye apne wahshi ke janaze per
Bajaye chadar e gul daal do zanjeer ke tukde.

Kahin Thokar Na Lag Jaye Koi Zinda Na Ho Jaye.

 

Tum Apni Deed Ka Aye Jaane Jaañ Ailaan To Kar Do
Jo Hona Hai Woh Ho Jaaye Yuñhi Charcha To Ho Jaye.

 

Namaz e Ishq Ka Sajda Ada Karna Qayamat Hai
Ye Dar Hai Ghair Ke Aage Kahin Sajda Na Ho Jaye.

 

Tujhko jab main dhooñdta hooñ aap ko paata hooñ maiñ
Khud ko jab main dhooñdta hooñ to tujhe paata hooñ maiñ.

Ye Dar Hai Ghair Ke Aage Kahin Sajda Na Ho Jaye.

 

Jab kabhi masti meiñ padhta hoon namaze ishq ko
Apne sajde apne hi aage kiye jaata hooñ maiñ.

Ye Dar Hai Ghair Ke Aage Kahin Sajda Na Ho Jaye.

 

Maqam e ishq mein aisa bhi ik maqam aaya
Jahañ mahmood ka ayaaz bhi ghulam aaya
Khuda ke naam ko padhte hue umar guzri
Magar wo naam bhi batin mein mera naam aaya.

Ye Dar Hai Ghair Ke Aage Kahin Sajda Na Ho Jaye.

 

Bataauñ Kaun Hooñ Kya Hoon? Haqiqat Aashna Hoo Main
Ye Soorat Hai Meri Soorat, Khud Apna Aayina Hoon Main

 

Ye naam o nishañ jabke ba har Shaan mein aaya
Har jism o sifat tod ke imkaan meiñ aaya
Ifran se jab hazrat e insan ko dekha
To Safdar yahi Allah meri pehchan mein aaya.

Ye Soorat Hai Meri Soorat, Khud Apna Aayina Hoon Main

 

Tu mujh se poochh pata, Be pata talash na kar
Aye hamsheen yahan khuda ka pata hoon main
Tamam khalq se pahle jo ganj tha maqfi
Tu mujhko dekh wahi ganj e barmala hoon main.

Ye Soorat Hai Meri Soorat, Khud Apna Aayina Hoon Main.

 

Farishte kyun na karte mujhko sajda
Ke apne yaar ki tasveer hoon main.

Ye Soorat Hai Meri Soorat, Khud Apna Aayina Hoon Main.

 

Keh ke kun sab kuchh banane wala main khud aap hoon

Ye Soorat Hai Meri Soorat, Khud Apna Aayina Hoon Main.

 

Khud aabid o maabood bhi nabood bhi hain hum
Kaunain ki har shakl mein maujood bhi hain hum
Karte hain ada apne liye apni namazeñ
Sajda bhi hamara hai, masjood bhi hain hum.

Ye Soorat Meri Soorat, Khud Apna Aayina Hoon Main.

 

Jo Chaha Woh Kiya Maine Jo Chaha Wo Bana Hoon Main
Pujari Aur Sanam Ke Roop Mein Jalwa Numa Hoon Main.

 

Kaaba kaleesa mandir mujhe dhoondhne ko jayeñ
Kafir samajh rahe hain koi cheez e gumshuda hoon.

Pujari Aur Sanam Ke Roop Mein Jalwa Numa Hoon Main.

 

Khud maine hi bataya wo raaz e kunto kanjan
Ab aadmi ki soorat jalwa numa hua hoon.

Pujari Aur Sanam Ke Roop Mein Jalwa Numa Hoon Main

 

Aadam ko khud hi maine Iqbal tha bakhsha
Qad raa’ana fana se main khud teri baqa hoon.

Pujari Aur Sanam Ke Roop Mein Jalwa Numa Hoon Main

 

Main Khud Hi Masjid o Mandir Kaleesa Ki Bhi Soorat Hoon
Mere Hi Roop Haiñ Saare Numaya Har Jagah Hoon Main.

 

Koi Mujhko Bashar Keh De Jo Chahe Wo Khuda Keh De
Bashar Ho Kar Fana Hoon Main Khuda Ho Kar Baqa Hoon Main.

 

Wohi Jalwa Numa Hai Main Nahi Hoon

main nahi hoon..main nahi hoon
main nahi hoon..main nahi hoon

 

Tu kahañ te taada vajda
Main kahan te chhuriyañ
Kaht kabeer suno bhayi sadho
Main tu dono buriyañ.

main nahi hoon..main nahi hoon
main nahi hoon..main nahi hoon

 

Yaar e man ba kamal e ranayi
Khud tamasha o khud tamashayi.

main nahi hoon..main nahi hoon
main nahi hoon..main nahi hoon

 

Zahir o batin mein dekho hazrat e insaan hai
Hazrat e insañ sifat mausoof iski jaan hai
Shakl apni par bana kar khud khuda kehne laga
Ghaur se dekho ise ye hi meri pehchan hai
Dar haqiqat jisme aadam zaat ki hai jalwa gaah
Iska jo munkir hua dekho wohi shaitan hai.

main nahi hoon..main nahi hoon
main nahi hoon..main nahi hoon

 

Bana kar bhesh insañ ka kisi ne
mujhe dokha diya hai

main nahi hoon..main nahi hoon
main nahi hoon..main nahi hoon

 

Mere parde mein aakar aur koi
tamasha kar raha

main nahi hoon..main nahi hoon
main nahi hoon..main nahi hoon

 

Hañ, ye bande mein khuda hai

main nahi hoon..main nahi hoon
main nahi hoon..main nahi hoon

 

Mere parde mein aakar aur koi
Tamasha kar raha

main nahi hoon..main nahi hoon
main nahi hoon..main nahi hoon

 

Khuda kehte hain jisko ahl-e duniya
Wo mujh mein bolta hai

main nahi hoon..main nahi hoon
main nahi hoon..main nahi hoon

 

Patey ki baat hai kehta hooñ samajh lo
Yehi mera pata hai

main nahi hoon..main nahi hoon
main nahi hoon..main nahi hoon

 

Yehi dekha Akbar yahi hai
Jo mujh mein bolta hai

main nahi hoon..main nahi hoon
main nahi hoon..main nahi hoon

 

Sabhi Iqbal Hain Mere Juda Mujh Se Nahi Koyi
Fana Ki Ibtada Mujh Se Baqa Ki Intaha Hoon Main.

 

Sambhal Aye Dil Kisi Ka Raaz Be Parda Na Ho Jaye..

 

 

Leave a Reply