HAQEEQAT AAPKI HAQ JAANTA HE NAAT LYRICS

HAQEEQAT AAPKI HAQ JAANTA HE NAAT LYRICS

 

Haqeeqat Aapke Haq Jaanta He
Wo Wahm o Fahm Se Aaqa Waraa He

Kuch Aisa Aap Ko Haq Ne Banaaya He
Ke Khud Wo Aap Ka Taalib Huwa He

Buland Itna Tujhe Haq Ne Kiya He
Ke Arsh e Haq Bhi Tere Zer e Paa He

Jo AwroƱ Ke ā€˜Uloo Ka Intihaa He
Wo Sarkaari ā€˜Uloo Ka Ibtidaa He

Khuda Ki Zaat Tuk Tu Hee Rasa He
Kisi Ka Bhi Ye Aali Martaba He

Na He Tum Sa Na Ko-ee Hoga Aage
Na Ay Aaqa Ko-ee Tum Sa Huwa He

Malaaā€™ik Me, Rusul Me, Ambia Me
Ko-ee Arsh e Ulaa Tuk Bhi Gaya He

Taā€™aal-Allah Teri Shaan e Aali
Jalaalat e Shaan Ki Kya Intihaa He

Nikaali Zawraq e Khursheed Doobi
Ishaare Se Qamar ā€˜Tukā€™re Kiya He

NahiƱ Ho Doosra Me Sub Se Baala,
Bus Ek Allah Hee Tum Se Siwa He

Teri Soorat Se He Haq Aashkaara
Khuda Bhaati Teri Har-Har Adaa He

NahiƱ Ho Sakta Tujh Saa Ko-ee Baahar
Ke Tu Hee Mubtada o Muntaha He

Tu He Noor e Khuda Phir Saaya Kaisa
KaheeƱ Bhi Noor Ka Saaya Parā€™aa He

Tu He Zilā€™l e Khuda, Walā€™laah Bilā€™laah
KaheeƱ Saaye Ka Bhi Saaya Parā€™aa He

ZameeƱ Par Tera Saaya Kaise Parā€™ta
Tera Mansoob Arfaā€™ Daa-ima He

Khuda Ka Fazl e Aazam Aap Par He
Sikhaa Sub Kuch TumheƱ Haq Ne Diya He

Na Minā€™nat Tum Pe UstaadoƱ Ki Rakhi
Tumhara Ummi Hona Mujā€™iza He

Hatheyli Ki Tarah Pesh E Nazar He
Huwa Jo Hoga, Jo Kuch Ho Raha He

Na Ko-ee Raaz Ho Posheeda Tum Se
Na Ko-ee Raaz Posheeda Raha He

Chupa Tum Se Rahe KyuƱkar Ko-ee Raaz
Khuda Bhi To NahiƱ Tum Se Chupa He

Musalā€™lat Ghaib Par Tu KyuƱ Na Hota
Nabi o Mujtaba o Murtadha He

Teri Marzi Raza e Haq He Maula
Raza e Haq Teri Marzi Shaha He

Guzar Tera Huwa He Jis Gali Se
Teri Khushboo Se Har Zarā€™ra Basa He

DuroodeƱ Tum Pe Haq Ki HoƱ Hamesha
Hamaari, Haq Se, Ye Har Dum Dua He

Durood Us Par Ho Jis Par Haq DuroodeƱ
Bahr Lahza, Ba Har Dam, Bhejta He

Salaam Us Par Jo He Matloob Rabā€™b Ka
Salaam Us Par Jo Mahboob e Khuda He

Salaam Us Par Ye Bahr o Bar HaiƱ Jis Ki
Salaam Us Par Jo Shaah e Do Sara He

Jis Aaqa Ke Malaa-ik HaiƱ Salaami
Jo Shaah e Kursi o Arsh e ā€˜Ulaa He

Khuda Ki Saltanat Ka Jo He Doolha
Salaam Us Par Jo Rahmat Ka Bina He

Jisay Sang o Shajar Tasleem Karte
Salaam Us Par Jo Aisa Badshah He

Salaam Us Par Jo Awā€™wal He Rusul Ka
Salaam Us Par Jo Khatm ul Ambia He

Salaam Awā€™wal Ka Awā€™wal Par Hamesha
Salaam Baaqi Ho Jub Tuk Baqa He

Salaam Aakhir Ka Aakhir Par Ho Daa-im
Na Bus Aalam Hee Tuk Jis Ko Fana He

Salaam e Zaahir o Baatin Ho Us Par
Jo Zaahir Ho Ke Baatin Ho Gaya He

Salaam Ay Jaan e Rahmat Kaan e Rahmat
Salaam Ay Ke Wo Shaan e Haq Numa He

Rahe Jalwa Tumhara Dil Ke Andar
Mere Pyaare Ye Dil Ka Mudā€™daā€™a He

Rahe Pesh e Nazar Wo Roo e Anwar
Tarasti AankhoƱ Ki Ye Iltija He

Sharaab e Deed Se Dil Shaad Kijiye
Hamaare Dard Ki Ye Hee Dawa He

YaheeƱ He Be ThikaanoƱ Ka Thikaana
YahaaƱ Shah o Gada Sub Ka Thā€™iya He

Dum e Aakhir Tu Aaja Jaan e Esa
HaiƱ Saaqit NabzeƱ Ghungar Bolta He

Dum e Aakhir Chale Aawo Khudara
Dikhaado Marne Waala Jee Raha He

Tere QadmoƱ Me Jis Ko Maut Aa-ee
Hayaat e JawedaaƱ Us Ki Qaza He

Hatā€™aa Dije Rukh e Anwar Se Gaisoo
Andhera Qabr Ka Kaali Balaa He

Dikha Dije Shaha Pur-Noor Chehra
Sifat Me Jis Ki Wash Shams Awr Duha He

Sunghaa Dije HameƱ Wo Zulf MushkeeƱ
Sifat Me Jis Ki Wal Layl Saja He

Tere Qurbaan Ay Zulf e Muā€™ambar
Hamaare Sar Hujoom e Bud Balaa He

Mere Sar Se Bala-eƱ Door Farma
Balaa-oƱ Me Ye Banda Mubtala He

Naheef o NaatawaaƱ Sarkaar Hum HaiƱ
Buhat Sabr Aazma Ye Ibtila He

PareshaaƱ HuƱ Pareshaani Karo Door
Balaa-oƱ Me Ye Banda Mubtala He

Na Kije Door Hum Ko Apne Dar Se
Parā€™aa Rehne Do Jo Dar Par Parā€™aa He

Shaheed e Karbala Ka Sadqa De-de
Tu Shaaha Dafa e Karb O Bala He

PareshaaƱ HuƱ Pareshaani Karo Door
PareshaaƱ Sa PareshaaƱ Dil Mera

Pareshaani e Watan Ki Yaad Kar Ke
PareshaaƱ Dil, Abhi Se Ho Raha He

Pareshaani He GoonaguƱ Watan Me
PareshaaƱ Unko Farmaa Do To Kya He

YahaaƱ KyuƱkar Na Dil Aaraam Paa-e
JahaaƱ Aaraam e Jaan o Dil Mera He

Me Ghar JaawuƱ To Un Me Ghir Na JaawuƱ
YahaaƱ Bus Ye Tafakā€™kur Ho Raha He

Rumooz e Maslihat Sarkaar Jaane
Agar Waapas Hee Farmaana Bhala He

Magar Itni Guzaarish Ki Ijaazat
Ye Banda Dast Basta Chaahata He

HameƱ Phir Apne QadmoƱ Me Bulaana
Yahi Maula Taā€™aala Se Dua He

Ke Phir Sarkaar Ke QadmoƱ Me Laa-e
YaheeƱ Par Marne Jeene Me Maza He

Qiyaamat He, Qiyaamat He, Qiyaamat
Jidhar Dekho, Udhar Mahshar Bapa He

ZameeƱ Taambe Ki He, Sooraj SaroƱ Par
Tapish Se Bheyjaa Sar Me Kholta He

Zara Saa Bhi NahiƱ Saaya KaheeƱ Par
Arq Itna Bahaa, Darya Bahaa He

ZubaaneƱ Sookhi HaiƱ, Kaante Chubay HaiƱ
Atash Se Haal Abtar Ho Raha He

Kaleje Munh Ko Aa-e Dum Ghutay HaiƱ
Ulatā€™ Kar Dil Galay Me Aa Raha He

Sarapa Ko-ee To Gharq e Arq He
Kisi Ki Munh Tuk Aa Kar Reh Gaya He

Tarapta He Ko-ee Be-Chain Ho Kar
Ko-ee Gir Kar ZameeƱ Par Lowt-taa He

Misaal e Maahi Be Aab Ko-ee
Ko-ee Jal Jal Kebaab Sokhta He

Ajab Ye Kasmapursi Ka He Aalam
Jisay Dekho Bharakā€™ta Bhaagta He

Zan o Shaw Me NahiƱ Baaqi Taā€™aaruf
Na Bha-ee, Bha-ee Ko Pehchaanta He

Na Ko-ee Aaj Haami He Na Yaawar
KaheƱ Kis Se Ke Kaisa Maajra He

Buray Ahwaal HaiƱ Us Roz Uf-Uf
Buhat Ahwaal Bah Ka Saamna He

Ko-ee Haampe Ko-ee Kaampe Kara He
Ko-ee Rota Ko-ee Chil-la Raha He

He Daar o Geer Ka Hangaama Barpa
Buhat Sakht AafatoƱ Ka Saamna He

 

Rusul Bhi Nafsi-Nafsi Keh Rahe He
Himaayat Ka Kisay Ab Aasra He

Bandhegi Aas Apni Baā€™ad Har Yaas
Usee Se Jo Humaara Aasra He

Usee Ke Paas Sub Pahunchenge Aakhir
Wo Jis Ka Naam e Naami Mustafa He

Shafaā€™at Ka Usee Ke Sar He Sahra
Wahee Is Bazm Ka Doolha Bana He

Chalo Ay Aasiyo! KyuƱ Karā€™h Rahe Ho
Wo Mahboob e Khuda Jalwa Numa He

Malul Ay Ghamzado Tum Kis Liye Ho
Wo Pyaara Mustafa Jub Ghamzuda He

SuneƱge Sun-ne Waale ā€˜Idhabooā€™, Ke
Zubaan e Paak Par ā€˜In-ni Lahaaā€™ He

Mazaalim Kar LeƱ Jitne Howā€™weƱ Zaalim
Na Kar Gham Noori, Ke Apna Bhi Khuda He

 

 

Leave a Reply