Ye Tune Aaj Kya Nigahe Yaar Kar Diya Lyrics

Ye Tune Aaj Kya Nigahe Yaar Kar Diya Lyrics

 

Wo Taalluk Na Rakhega Kabhi Maikhane Se
Jisne Pi Li Ho Tere Ankh Ke Paimane Se

Kya Tamasha Hai Teri Zulf Bikhar Jaane Se
Hosh Waaale Bhi Nazar Aate Hain Deewane Se

Sajde Kyun Kar Na Karun Dar Pe Sanamkhaane Ke
Jaagti Hai Teri Tasvir Sanamkhaane Se

Ye Tune Aaj Kya Nigahe Yaar Kar Diya
Aisi Pilayi Aaj Ke Sarshaar Kar Diya

Na Khabar Apni Hai Na Aalam Ki
Aisi Pilayi Apni Nazar Se

Saaki Ne Maste Nargise Mastaana Kar Diya
Aisi Pilayi Aaj Ke Deewana Kar Diya

Nazar Mila Ke Kaha Mujhse Mere Saaki Ne
Haraam Kehte Hai Jisko Yeh Wo Sharaab Nahi

Kar Rahi Dar Haqeeqat Kaam Saaki Ki Nazar
Maikade Mein Gardish E Saagar Paraye Naam Hai

Ashqon Ne Kya Gazab Gham E Deedar Kar Liya
Jee Bhar Ke Dekhna Hamein Dushwaar Kar Diya

Imaan O Deen O Zauhad Garaz Jo Tha Hamare Pass
Sab Kuch Nisaar E Abroo E Khamdaar Kar Diya

Ik Tashna Lab Ne Yoon Bhi Diya Imtehan E Ishq
Qurban Raza E Yaar Par Ghar Baar Kar Diya

Khuda Waale Khuda Ko Iss Tarah Se Yaad Karte Hain
Gale Pe Teg Lab Pe Shukr Dil Mein Yaad Karte Hain

Hausla Hazrat E Shabbir Ka Allah Allah
Sar Jhuka Hota Hai Aur Shukr E Khuda Karte Hain

Bete Bhi Diye Sar Bhi Diya
Ghar Bhi Diya Yaar Ki Khaatir

Teri Ik Nigah Ki Qeemat Meri Saari Zindagaani
Tu Agar Qabool Kar Le Toh Teri Meharbaani

Gar Qabool Uftald Hai Warna Kya Gila
Dil Ke Tukde Tukde Chunkar Nazar Karne Laaya Hoon

Shahhed Kaun Wo Guzra Hai Aisa Aalam Mein
Sana Ki Nokh Pe Jo Zikr E La Ilah Kare

La Ilah To Padh Liya Ab Le Maza Taseer Ka
La Ilah Ke Teh Ke Niche Khoon Hai Shabbir Ka

Namaaz E Zahidan Sajda Shajud Ast
Namaaz E Ashiqan Darke Wajud Ast

Maine Dar E Sanam Pe Iss Tarah Padhi Namaaz
Kaaba Meri Namaaz Pe Qurbaan Ho Gaya

Jo Nahi Hai Ankh Purnam Toh Yeh Justaju Na Poocho
Yeh Hai Dard Ka Fasaana Isse Bewaju Na Poocho

Mera Yaar Saamne Hai Mujhe Kaif Wo Mila Hai
Main Namaaz Padh Raha Hoon Mera Qibla Yaar Na Ppocho

Ye Fark Teri Meri Bandagi Mein Hai Zahid
Namaaz Tune Padhi Zikr E Yaar Maine Kiya

Khuda Ki Zaat Bhi Karti Hai Naaz Kya Kehna
Hussain Paak Tumhari Namaaz Kya Kehna

Saamne Jab Bhi Yaar Hota Hai Dil Pe Kab Ifteyaar Hota Hai
Zikr E Jaana Hi Dil Ke Liye Zikr E Parwardigaar Hota Hai

Mareeze Ishq Ka Aksar Ye Haal Hota Hai
Kisi Ke Naam Se Chehra Bahaal Hota Hai

Main Isse Ishq Kahun Ya Jamaal E Ishq Kahun
Namaaz Mein Bhi Tumhaara Khayaal Hota Hai

Wisaal E Yaar Ke Aalam Mein Jaa Ke Aa Na Saka
Hazaar Zohad Kiya Khud Mein Khud Ko Paa Na Saka

Zabaan Pe Aaye The Isiya Ka Naabad O Lekin
Sanam Ke Paon Pe Sar Rakh Ke Phir Utha Na Saka

Sajde Mein Sir Kata Kar Shahe Mashar Chain Ne
Itna Buland Ishq Ka Miyaar Kar Diya

Allah Chashm Yaar Teri Zauf Shaaniyan
Jis Dil Ko Dekha Matla E Anwaar Kar Diya

Iss Iltefabe Khaas Pe Qurbaan Jaun Main
Teri Nazar Ne Meherme Asraar Kar Diya

Tujhe Dekha Khuda Ko Dekha
Phir Iske Baad Kuch Na Dekha

Deedar Ke Qaabil Toh Kahaan Meri Nazar Hai
Yeh Teri Inayat Hai Ki Nazar Idhar Hai
\
But Ko But Aur Khuda Ko Jab Khuda Kehte Hain
Main Bhi Dekhun Ke Tujhe Kya Kehte Hain

Khaate The Thokrein Jo Zamaane Ke The Gada
Teri Gali Mein Aaye To Sultaan Ban Gaye

Main Kuch Nahi Magar Yeh Haqiqat Zaroor Hai
Tere Dar E Karam Se Muhabbat Zaroor Hai

Yeh Aur Baat Aaye Na Aadab E Bandagi
Lekin Tumhare Dar Se Aqeedat Zaroor Hai

Kase Mein Mujh Fakir Ke Kuch Bhi Nahi Magar
Lekin Tumhare Ishq Ki Daulat Zaroor Hai

Mujh Benawa Ke Waaste Ye Bhi Toh Kam Nahi
Haathon Mein Unka Daamne Nisbat Zaroor Hai

Do Zakh Mein Jo Kaa Mera Saaya Na Jaye Ga
Haathon Mein Mere Inka Daaman

Jalaye Mujhko Do Zakh
Tauba Tauba Ho Nahi Sakta

Mil Gayi Hai Sanad Ghulami Ki
Apni Kismat Pe Kyun Na Naaz Karun

Pehchaana Jaunga
Iss Naam O Nishaan Se Main

Jab Farishte Qabr Mein Aayenge Lene Ko Hisaab
Sau Sawalon Ka Yahi Hoga Faqat Mera Jawaab

Mil Gaya Inka Dar Aur Kya Chahiye
Aye Jabeen Naaz Kar Aur Kya Chahiye

Main Kiska Kaun Hoon Kya Kahoon Nahin Wo Poochte
Kya Hai Qabr Pe Tehreer Hai

Manaa Nawazishaat Ke Qabil Nahi Hoon Main
Phir Bhi Kisi Ki Mujhpe Inayat Zaroor Hai

Jalwe Hazaar Saamne Aate Rahein Toh Kya
Aankhon Mein Farz Unki Ziarat Zaroor Hai

Aeena Gham Ki Dhoop Kabhi Mujhpe Aye Fanaa
Sar Pe Kisi Ka Daaman E Rehmat Zaroor Hai

Mera Kya Hai Gulshan E Bahr Mein
Main Rha Toh Kya Na Raha Toh Kya

Ye Astaana Hai Ghareebon Ka Aabad Rahe
Ye Aasra Hai Ghareebon Ka Barqraar Rahe

Mujhko Matlab Nahi Zamane Se
Haider E Abdul Ke Aastane Se

Nigahe Karam Haajiyon Ko Mubarik
Sar Pe Rahe Daamane Rehmat

Butkada Nazdeek Kaaba Door Tha
Ruk Gaya Bas Yahin Majboor Tha

Ek Ham Hain Ke Hamein Kuch Bhi Passe Wafa
Ek Woh Hain Ke Karam Ham Pe Kiye Jaate Hain

Unke Sang E Dar Se Kuch Aisi Aqeedat Ho Gayi
Umr Bhar Ki Ek Sajde Mein Ibaadat Ho Gayi

Dar Pe Hain Dair O Haram Unki Ibadat Ko Salaam
Jo Dar E Yaar Pe Sar Apna Jhuka Dete Hain

Hamne Ye Bandagi Ka Tareeka Bana Liya
Apne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya

Kaaba Kisi Ke Naaz Uthaye Toh Hamein Kya
Hamne Toh Unki Yaad Ko Kaaba Bana Liya

Hujoom E Gham Se Jab Ghabra Gaye Hain
Kisi Ke Aastan Pe Aa Gaye Hain

Kisi Ka Aastan Aalah O Akbar
Sahaare Besahaare Paa Gaye Hain

Patta Dekh Gal Vich Sohne Naam Wala
Saunh Rabb Di Koi Dutkaarda Nahi

Chahe Kise Dware Utte Bhaunk Aawan
Tera Samajh Koi Maarda Nahi

Junoon E Ishq Ne Behosh Kar Diya Lekin
Phir Bhi Yaad E Sanam Main Bhula Na Saka

Leave a Reply