Madine ke daro diwar or bazar achhe hain
gulo ke to hain kya kahne wahan ke khar achhe hain
wahan har cheez achhi hai zamane bhr ki cheezon se
yahan ke achhe achhon se waha beemar achhe hain
mere aaqa ke sab saathi to achhe hain magar unme
sulae hain jo pahlu main wo dono yar achhe hain
मदीने के दरो दीवार और बाजार अच्छे हैं
गुलों के तो है क्या कहने वहां के खार अच्छे हैं
वहां हर चीज अच्छी है जमाने भर की चीजों से
यहां के अच्छे-अच्छों से वहां बीमार अच्छे हैं
मेरे आका के सब साथी तो अच्छे हैं मगर उनमें
सुलाये हैं जो पहलू में वह दोनों यार अच्छे हैं
Don’t forget to share ..
check out our more posts-