Poet Noor sahab ka likha hua aur Syed Noorani Miya ki aawaz mein behad maqbool yeh naat-e-pak pesh-e-khidmat hai.
Is kalam mein qayamat ke din Huzoor ﷺ ki shafa’at, unki baqa aur Ahle Bait ki azmat ko bade hi khoobsurat andaz mein bayan kiya gaya hai.
Aaiye is roohani aur imaan ko taza karne wali naat-e-pak ko padhein aur apne dilon ko ishq-e-mustafa se sarshaar karein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Baroze Hashr Jo Hoga Wo Baat Baqi Hai |
| Poet / Writer | Noor |
| Category | Naat Sharif |
| Naatkhawan / Reciter | Syed Noorani Miya Ashrafi Al Jilani |
Naat Lyrics in Roman
Baroze hashr jo hoga wo baat baaki hai
Shafa’aton ke liye unki zaat baaki hai
Hamein wo dekh kar mahshar mein yun pukaarenge
Wo kaun log hain jinki najaat baaki hai
Shafa’aton ke liye unki zaat baaki hai
Nabi ki deed ki hasrat thi phir qaza ne kaha
Abhi hayat ke aage hayat baaki hai
Abhi bhi qabr mein zinda hain Rehmat-e-Aalam
Tabhi to aaj talak kainaat baaki hai
Ajeeb shaan ki wo sair-e-la-makani thi
Wo jaakar aa bhi gaye aur baat baaki hai
Dilon mein aaj bhi zinda hai rooh-e-islami
Hamare qadmon mein ab bhi se baat baaki hai
Yazeed mit gaya naslein bhi uski ghayab hain
Abhi bhi uski yahan zaat-paat baaki hai
Baroze hashr Muhammad ke khaandan ke liye
Gawahi dene ko nahr-e-furaq baaki hai
Ye sirf ahd-e-wafa ki imaratein hain Noor
Abhi to sher sunayi hai naat baaki hai
Shafa’aton ke liye unki zaat baaki hai
Naat Lyrics in Hindi
बरोज़े हश्र जो होगा वो बात बाकी है
शफ़ाअतों के लिए उनकी ज़ात बाकी है
हमें वो देखकर महशर में यूँ पुकारेंगे
वो कौन लोग हैं जिनकी नजात बाकी है
शफ़ाअतों के लिए उनकी ज़ात बाकी है
नबी की दीद की हसरत थी फिर क़ज़ा ने कहा
अभी हयात के आगे हयात बाकी है
अभी भी क़ब्र में ज़िंदा हैं रहमत-ए-आलम
तभी तो आज तलक कायनात बाकी है
अजीब शान की वो सैर-ए-ला-मकानी थी
वो जाकर आ भी गए और बात बाकी है
दिलों में आज भी ज़िंदा है रूह-ए-इस्लामी
हमारे क़दमों में अब भी से बात बाकी है
यज़ीद मिट गया नस्ले भी उसकी ग़ायब है
अभी भी उसकी यहाँ ज़ात-पात बाकी है
बरोज़े हश्र मुहम्मद के ख़ानदान के लिए
गवाही देने को नहर-ए-फ़ुराक़ बाकी है
ये सिर्फ़ अहद-ए-वफ़ा की इमारतें हैं नूर
अभी तो शेर सुनाई है नात बाकी है
शफ़ाअतों के लिए उनकी ज़ात बाकी है
Naat Lyrics in Urdu
بروزِ حشر جو ہوگا وہ baat باقی ہے
شفاعتوں کے لیے اُنکی ذات باقی ہے
ہمیں وہ دیکھ کر محشر میں یوں پکاریں گے
وہ کون لوگ ہیں جنکی نجات باقی ہے
شفاعتوں کے لیے اُنکی ذات باقی ہے
نبی کی دید کی حسرت تھی پھر قضا نے کہا
ابھی حیات کے آگے حیات باقی ہے
ابھی بھی قبر میں زندہ ہیں رحمتِ عالم
تبھی تو آج تلک کائنات باقی ہے
عجیب شان کی وہ سیرِ لا مکانی تھی
وہ جا کے آ بھی گئے اور بات باقی ہے
دلوں میں آج بھی زندہ ہے روحِ اسلامی
ہمارے قدموں میں اب بھی سے بات باقی ہے
یزید مٹ گیا نسلیں بھی اُسکی غائب ہیں
ابھی بھی اُسکی یہاں ذات پات باقی ہے
بروزِ حشر محمدؐ کے خاندان کے لیے
گواہی دینے کو نہرِ فُراق باقی ہے
یہ صرف عہدِ وفا کی عمارتیں ہیں نور
ابھی تو شعر سنائی ہے نعت باقی ہے
شفاعتوں کے لیے اُنکی ذات باقی ہے