Ahmed Raza Ka Taza Gulistan Hai Aaj Bhi Naat Lyrics
Ahmed Raza Ka Taaza Gulistaan Hain Aaj Bhi
Khursheed Ilm Unka Darakshan Hain Aaj Bhi

Tum Kya Gaye Ki Rounak E Mehfil Chali Gayi
Sher O Adab Ki Zulf Pareshan Hain Aaj Bhi

Kis Tarha Itne Ilm Ke Dariyan Bahaa Diye
Ulama E Haq Ki Aql To Hairaan Hai Aaj Bhi

Khidmat Quraan E Paak Ki Wo Laa Jawab Ki
Raazi Raza Se Saahib E Quran Hain Aaj Bhi

Sab Unse Jalne Waalon Ke Ghul Ho Gaye Chiraagh
Ahmed Raza Ki Sham’a Firoza Hain Aaj Bhi

Lillah Apne Faiz Se Ab Kaam Lijiye
Fitno Ke Sarr Uthane Ka Imkaan Hai Aaj Bhi

Arsa Huwa Woh Mard E Mujahid Chala Gaya
Sunniyo Me Ek Sozish e Pinhaan Hai Aaj Bhi

Imaan Pa Rahaa Hai Halaawat Ki Naemate
Aur Kufr Tere Naam Se Larzaan Hai Aaj Bhi

Maghmum Ahl e Ilm Na Ho Kyu Tere Liye
Jab Ilm Khud Hi Sar Bagareeban Hai Aaj Bhi

Ishq e Habib e Paak Me Dooba Huwa Kalaam
Sarmaya Nishaat Sukhandaan Hai Aaj Bhi

Bhar Di Dilo Me Ulfat o Azmat Rasool Ki
Joh Makhzan e Halaawat e Imaan Hai Aaj Bhi

Aalim Ki Maut Kehte Hai Aalam Ki Maut Mai
Apne Kiye Pe Maut Pasheeman Hai Aaj Bhi

Wabastagaan Kyu Ho Pareeshaan Un Pe Jab
Lutf o Karam Unka Damaan Hai Aaj Bhi

Taiba Me Us Ki Zaat Salaamat Rahe Ke Joh
Teri Amaanato Ka Nighehbaan Hai Aaj Bhi

Mirza Saare Niyaaz Jhukaataa Hai Is Liye
Ilm o Amal Pe Aap Ka Ehsaan Hai Aaj Bhi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *