Mustafa Ka Khuda Aur Khud Mustafa
Mustafa Ka Khuda Aur Khud Mustafa
Kyu Kahu Mera Koi Sahara Nahi
Unke Dar Ka Gada Aur Mayoos Ho,
Mere Sarkar Ko Yeh Gawara Nahi.
Mai Madine Se Lekin Bohot Door Hu
Yeh Khalish Mere Dil Ko Gawara Nahi
Aap Ka Ishq Hai Ishq E Rab Ul Ula
Aap Ka Zikr Hai Khaas Zikre Khuda
Khud Khuda Ne Yeh Quran Me Ailaan Kiya
Joh Tumhara Nahi Woh Hamara Nahi
Thokaro Ke Siwa Aur Payega Kya
Jiski Manzil Ko Koi Na Ho Rahnuma
Apni Manzil Pe Hargiz Na Pahuchega Woh
Hath Me Jike Daaman Tumhara Nahi
Ism E Ahmed Ki Taazim Ke Munqeero
Unki Azmat Ko Quran Me Dekh Lo
Be Laqab Unka Ism E Mubarak Kabhi
Unke Mabood Ne Bhi Pukara Nahi
Aql E Jinn O Bashar Ka Yaha Zikr Kya
Sidrah Waale Jaha Dang O Hairan Hai
Rifat E Mustafa Ki Mile Hadh Kisse
Yeh Who Dariya Hai Jiska Kinara Nahi
Wohi Roaze Pe Bulwayege Ek Din
Aye Sikandar Zara Sabr Se Kaam Le
Unke Dar Ka Gadha Aur Mayoos Ho
Mere Sarkar Ko Yeh Gawara Nahi
Ya Nabi Apni Ulfat Ki Soughaat De,
Apni Shayan-e-shah Mujhko Khayraat De.
Iss Se Matlab Nahi Hai, Siwa Ho Ke Kamm,
Shaala Wasda Raawe Tera Sohna Haram.
Mere Haathon Mein Kaasa Hai Umeed Ka,
Hoon Bhikari Shaha Teri Deed Ka.
Ik Jhalak Hi Dikha De Nabi Mohtasham,
Shaala Wasda Rawe Tera Sohna Haram.
Mere Haathon Mein Kaasa Hai Umeed Ka,
Hoon Bhikari Shaha Teri Deed Ka.
Main Gada-e-haram, Tu Nabi Mohtasham,
Shaala Wasda Rawe Tera Sohna Haram.