Khayal Aata Hai Dil Mein Ye Gar Hua Hota Ek Nihayat Hi Maqbool Aur Dard Se Labrez Naat Sharif Hai. Is Haseen Kalam Ke Zariye Ek Aashiq-E-Rasool Pyare Aaqa Ke Zahiri Daur-E-Mubarak Mein Paida Hone Ki Gehri Hasrat Ka Izhaar Behad Khoobsurat Andaz Mein Karta Hai.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Khayal Aata Hai Dil Mein Ye Gar Hua Hota |
| Poet / Writer | Sayyed Aminul Qadri / Qari Rizwan Khan |
| Category | Naat Sharif |
| Naatkhawan / Reciter | Qari Rizwan Khan |
| Book Name | Barkate Raza Naat Book |
Khayal Aata Hai Dil Mein Ye Gar Hua Hota Lyrics In Roman
Khayaal Aata Hai Dil Men Ye Gar Huwa Hota
Unhin Ke Daur Men Main Ne Janam Liya Hota
Main Chupke Chupke Unhen Dekhta Raha Hota
Naseeb Waalon Ka Phir Main Bhi Peshwa Hota
Wo Chalte Aage Mere Shaan-E-Dilrubaai Se
Main Peechhe Un Ki Sawaari Ke Daudta Hota
Mere Bhi Sar Pe Tasalli Ka Haath Rakhte Wo
Yateen Gar Main Usi Daur-E-Paak Ka Hota
Mujhe Bhi Milta Sharaf Talwe Choom Lene Ka
Nabi-E-Paak Ki Paa-Posh Ban Gaya Hota
Wo Le Ke Jaate Mujhe Roz Kaash ! Sehra Men
Haleema Daai Ki Bakri Hi Ban Gaya Hota
Wo Aa Ke Mere Janaaze Pe Jab Khade Hote
Kafan Hata Ke Main Un Ko Hi Tak Raha Hota
Ameen-E-Khasta Ka Uthta Janaaza Tayba Men
Muraad Apni Be-Chaara Ye Paa Gaya Hota
Mujhe Bhi Saakin-E-Tayba Bana Diya Hota
Nabi Ka Naqsh-E-Kaf-E-Paa Bana Diya Hota
Main Un Ke Shehr Men Be-Rok-Tok Jaa Sakta
Hawa Ka Mujh Ko Jo Jhonka Bana Diya Hota
Mah-O-Nujoom Se Behtar Chamak Meri Hoti
Jo Un Ke Kooche Ka Zarra Bana Diya Hota
Baqi’-E-Paak ‘Ata Kar Ke Apne Rizwan Ko
Muqeem-E-Sehr-E-Madina Bana Diya Hota
Khayal Aata Hai Dil Mein Ye Gar Hua Hota Lyrics In Hindi
ख़याल आता है दिल में ये गर हुआ होता
उन्हीं के दौर में मैं ने जनम लिया होता
मैं चुपके चुपके उन्हें देखता रहा होता
नसीब वालों का फिर मैं भी पेशवा होता
वो चलते आगे मेरे शान-ए-दिलरुबाई से
मैं पीछे उन की सवारी के दौड़ता होता
मेरे भी सर पे तसल्ली का हाथ रखते वो
यतीम गर मैं उसी दौर-ए-पाक का होता
मुझे भी मिलता शरफ़ तलवे चूम लेने का
नबी-ए-पाक की पा-पोश बन गया होता
वो ले के जाते मुझे रोज़, काश ! सहरा में
हलीमा दाई की बकरी ही बन गया होता
वो आ के मेरे जनाज़े पे जब खड़े होते
कफ़न हटा के मैं उन को ही तक रहा होता
अमीन-ए-ख़स्ता का उठता जनाज़ा तयबा में
मुराद अपनी बे-चारा ये पा गया होता
मुझे भी साकिन-ए-तयबा बना दिया होता
नबी का नक़्श-ए-कफ़-ए-पा बना दिया होता
मैं उन के शहर में बे-रोक-टोक जा सकता
हवा का मुझ को जो झोंका बना दिया होता
मह-ओ-नुजूम से बेहतर चमक मेरी होती
जो उन के कूचे का ज़र्रा बना दिया होता
बक़ी’-ए-पाक ‘अता कर के अपने रिज़वाँ को
मुक़ीम-ए-शहर-ए-मदीना बना दिया होता
Khayal Aata Hai Dil Mein Ye Gar Hua Hota Lyrics In Urdu
خیال آتا ہے دل میں یہ گر ہوا ہوتا
انہیں کے دور میں میں نے جنم لیا ہوتا
میں چپکے چپکے انہیں دیکھتا رہا ہوتا
نصیب والوں کا پھر میں بھی پیشوا ہوتا
وہ چلتے آگے میرے شانِ دلربائی سے
میں پیچھے ان کی سواری کے دوڑتا ہوتا
میرے بھی سر پہ تسلی کا ہاتھ رکھتے وہ
یتیم گر میں اسی دورِ پاک کا ہوتا
مجھے بھی ملتا شرف تلوے چوم لینے کا
نبیِ پاک کی پا پوش بن گیا ہوتا
وہ لے کے جاتے مجھے روز کاش ! صحرا میں
حلیمہ دائی کی بکری ہی بن گیا ہوتا
وہ آ کے میرے جنازے پہ جب کھڑے ہوتے
کفن ہٹا کے میں ان کو ہی تک رہا ہوتا
امینِ خستہ کا اٹھتا جنازہ طیبہ میں
مراد اپنی بے چارہ یہ پا گیا ہوتا
مجھے بھی ساکنِ طیبہ بنا دیا ہوتا
نبی کا نقشِ کفِ پا بنا دیا ہوتا
میں ان کے شہر میں بے روک ٹوک جا سکتا
ہوا کا مجھ کو جو جھونکا بنا دیا ہوتا
مہ و نجوم سے بہتر چمک میری ہوتی
جو ان کے کوچے کا ذرہ بنا دیا ہوتا
بقیعِ پاک عطا کر کے اپنے رضوان کو
مقیمِ شہرِ مدینہ بنا دیا ہوتا