Aao Ahle Shariat Padhaayein Tumhe (Roman English)
**Aao Ahle Shariat Pa.Dhaayeñ Tumheñ**
**Aao Ahle Manzar Sunaayeñ Tumheñ**Waqt Kho Jaayega, Dam Nikal Jaayega,
‘Umar Tham Jaayegi, Saath Ruk Jaayega…
Qabr Maiñ Nafsi Nafsi Karegañ Jahaañ
Koyi Na Kissi Ka Monnas Rahega Wahaañ…**Aao Ahle Shariat Bataayeñ Tumheñ**
**Ahle Manzar Azaab-e-Qabr Bataayeñ Tumheñ**Ek Ye Din Hai, Kal Woh Din Bhi Aayega
Duniya Jaisi Ki Taisi Pala.T Jaayegi
Uss Ki Aaghosh Maiñ Jaakar Hosh Aa Jaayega
Munkar Nakeer Aa Jaayega, Qabr Hil JaayegiQabr Maiñ Nafsi Nafsi Jahaañ
Koyi Na Kissi Ka Apna Rahega WahaañHo Jo Momin To Phir Hai Kya Phir Baat
Karega Noor-e-Rasool Maiñ Tay Woh Pul-Sirat
Ummat-e-Rasool Jo Hoga Wahaañ
Noor Hi Noor Uss Par Hoga Wahaañ**Aao Ahle Shariat Sunaayeñ Tumheñ**
**Ahle Manzar Kya Hoga Ye Bataayeñ Tumheñ**