Karam Ke Badal Baras Rahe Hain
Dilon Ki Kheti Hari Bhari Hai
Yeh Kon Aaya Ke Zikr Jis Ka
Nagar Nagar Hai Gali Gali Hai
Ye Koun Ban Kar Qaraar Ayaa
Ye Koun Jaane Bahaar Ayaa
Gulo Ke Chehre Hai Nikhre Nikhre
Kali Kali Me Shaguftagi Hai
Diye Dilon Ke Jalaae Rakhna
Nabi Ki Mehfil Sajaae Rakhna
Jo Rahate Dil Sukoone Jaan Hai
Woh Zikr Zikre Muhammadi Hai
Nabi Ko Apna Khuda Na Mano
Magar Khuda Se Juda Na Jano
Hai Ahle Imaan Ka Ye Aqeeda
Khuda Khuda Hai Nabi Nabi Hai
Na Mango Dunya Ke Tum Khazaane
Chalo Niyaazi Chalein Madine
Ke Badshah Se Bhadh Ke Pyare
Nabi Ke Dar Ki Gadaagari Hai
Jo Gaaliya Sun Ke De Duayen
Bado Ko Apne Galle Lagaye
Saraapa Lutfo Karam Jo Thehri
Woh Mere Aaqa Ki Zindigi Hai
Main Apni Qismat Pe Kyun Na Jhoomu
Main Kyun Na Waliyon Ke Dar Ko Choomu
Main Naam Lewa Hu Mustafa Ka
Khuda Ke Bandon Se Dosti Hai
Hai Dosh Par Jin Ke Kamli Kaali
Wohi To Hain Do Jahaan Ke Waali
Koi Sawaali Na Bejha Khaali
Ye Shaan Mere Kareem Ki Hai