Karbal Mein Aal-e-Rasool | Aaye Deen Ka Gulshan Bachane Ke Liye

कर्बल में आल-ए-रसूल | आए दीन का गुलशन बचाने के लिए / Karbal Mein Aal-e-Rasool | Aaye Deen Ka Gulshan Bachane Ke Liye
कर्बल में आल-ए-रसूल, बाग़-ए-सय्यिदा के फूल
आए दीन का गुलशन बचाने के लिए
हैदर के लख़्त-ए-जिगर, कर के तयबा से सफ़र
आए दीन का गुलशन बचाने के लिए

एक तरफ़ थे सिर्फ़ बहत्तर
एक तरफ़ लाखों का लश्कर
ऐसी हैबत थी तारी, बहत्तर लाखों पे भारी
इक सबक़ दे दिया है ज़माने के लिए

शब्बीर पीते हैं जाम-ए-शहादत
या करते हैं रब की ‘इबादत
सर पे ‘अज़मत का है ताज, रन में पढ़ते हैं नमाज़
अपने नाना की उम्मत बचाने के लिए

प्यास का ‘आलम, होंट जो खोले
झूले से ‘अली असग़र बोले
बाबा ! अब कर दो क़ुर्बान, मेरी नन्ही सी ये जान
दिल है बेताब अब तीर खाने के लिए

मैदान में ‘अली अकबर आए
सारे यज़ीदी के दिल थर्राए
रन में गरजे जैसे शेर, कितने दुश्मन हो गए ढेर
ढूँडे दुश्मन जगह मुँह छुपाने के लिए

यौम-ए-जज़ा तक याद करेंगे
शाकिर ! हम फ़रियाद करेंगे
मेरे मौला ! कर एहसान, हम भी हो जाएँ क़ुर्बान
अपने प्यारे नबी के घराने के लिए

शायर:
एहसान शाकिर आज़मी

ना’त-ख़्वाँ:
एहसान शाकिर आज़मी

 

karbal me.n aal-e-rasool, baaG-e-sayyida ke phool
aae deen ka gulshan bachaane ke liye
haidar ke laKHt-e-jigar, kar ke tayba se safar
aae deen ka gulshan bachaane ke liye

ek taraf the sirf bahattar
ek taraf laakho.n ka lashkar
aisi haibat thi taari, bahattar laakho.n pe bhaari
ik sabaq de diya hai zamaane ke liye

shabbir peete hai.n jaam-e-shahaadat
ya karte hai.n rab ki ‘ibaadat
sar pe ‘azmat ka hai taaj, ran me.n pa.Dhte hai.n namaaz
apne naana ki ummat bachaane ke liye

pyaas ka ‘aalam, honT jo khole
jhoole se ‘ali asGar bole
baaba ! ab kar do qurbaan, meri nanhi si ye jaan
dil hai betaab ab teer khaane ke liye

maidaan me.n ‘ali akbar aae
saare yazeedi ke dil tharraae
ran me.n garje jaise sher, kitne dushman ho gae Dher
DhoonDe dushman jagah munh chhupaane ke liye

yaum-e-jaza tak yaad karenge
Shaakir ! ham fariyaad karenge
mere maula ! kar ehsaan, ham bhi ho jaae.n qurbaan
apne pyaare nabi ke gharaane ke liye

Poet:
Ehsan Shakir Azmi

Naat-Khwaan:
Ehsan Shakir Azmi

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top