Alfaaz Nahi Milte Sarkaar Ko Kya Kahiye


Yeh Pyari Naat E Paak Huzoor Akram Salle Allahu Alaihi Wa Sallam Ki Bargah E Raft’at Mein Ek Benazeer Hadiya E Aqeedat Hai. Is Kalam Mein Aqa E Do Alam Ke Akhlaaq, Kirdaar Aur Shaan E Mubarak Ko Behad Aala Andaz Mein Bayaan Kiya Gaya Hai. Is Bazaat E Ash’aar Ko Padh Kar Dil Mein Mehboob E Khuda Ki Azmat Aur Muhabbat Ka Jazba Bedar Hota Hai.

Naat InformationDetails
Naat TitleAlfaaz Nahi Milte Sarkaar Ko Kya Kahiye
Poet / WriterAllama Sayyed Nazmi Miya Marehravi
CategoryNaat
Naatkhawan / ReciterOwais Raza Qadri
Book NameBarkate Raza Naat Book

Alfaaz Nahi Milte Sarkaar Ko Kya Kahiye Lyrics In Roman

Alfaaz Nahi Milte Sarkaar Ko Kya Kahiye
Jibreel Salaami De Darbaar Ko Kya Kahiye

Akhlaaqe Muhammad Ki Kya Shaan Niraali Hai
Dushman Bhi Padhe Kalma Kirdaar Ko Kya Kahiye

Misaaqe Azal Me Jo Iqraare Bala Thehra
Jaari Hai Wo Mehshar Tak Iqraar Ko Kya Kahiye

Bas Ek Palak Jhapki Meraaj Hui Poori
Us Saahibe Rif’at Ki Raftaar Ko Kya Kahiye

Thi Nutqe Muhammad Me Taasire Kalaame Rab
Fusha Bhi Bane Gunge Guftaar Ko Kya Kahiye

Ek Ek Sahabi Par Firdaus Bhi Naazaan Hai
Siddique Umar Usman Karraar Ko Kya Kahiye

Aye Toor Tujhe Shayad Wo Baat Na Bhooli Ho
Israar Ko Kya Kahiye Inkaar Ko Kya Kahiye

Woh Gaar Ke Jisne Ek Tareekh Banaayi Hai
Us Gaar Ko Kya Kahiye Us Yaar Ko Kya Kahiye

Nazmi Teri Naato Ka Andaaz Niraala Hai
Mazmoon Anokhe Hai Ash’aar Ko Kya Kahiye

Alfaaz Nahi Milte Sarkaar Ko Kya Kahiye Lyrics In Hindi

अल्फ़ाज़ नहीं मिलते सरकार को क्या कहिए
जिब्रील सलामी दे दरबार को क्या कहिए।

अख़्लाक़े मुहम्मद की क्या शान निराली है
दुश्मन भी पढ़े कलमा किरदार को क्या कहिए।

मीसाक़े अज़ल में जो इकरारे बला ठहरा
जारी है वो महशर तक इकरार को क्या कहिए।

बस एक पलक झपकी मेराज हुई पूरी
उस साहिबे रिफ़अत की रफ़्तार को क्या कहिए।

थी नुत्क़े मुहम्मद में तासीरे कलामे रब
फुसहा भी बने गूंगे गुफ़्तार को क्या कहिए।

एक एक सहाबी पर फिरदौस भी नाज़ाँ है
सिद्दीक़ उमर उस्मान कर्रार को क्या कहिए।

ऐ तूर तुझे शायद वो बात न भूली हो
इसरार को क्या कहिए इंकार को क्या कहिए।

वो ग़ार के जिसने एक तारीख़ बनाई है
उस ग़ार को क्या कहिए उस यार को क्या कहिए।

नज़्मी तेरी नातों का अंदाज़ निराला है
मज़मून अनोखे हैं अशआर को क्या कहिए।

Alfaaz Nahi Milte Sarkaar Ko Kya Kahiye Lyrics In Urdu

الفاظ نہیں ملتے سرکار کو کیا کہیے
جبریل سلامی دے دربار کو کیا کہیے

اخلاقِ محمد کی کیا شان نرالی ہے
دشمن بھی پڑھے کلمہ کردار کو کیا کہیے۔

میثاقِ ازل میں جو اقرارِ بلیٰ ٹھہرا
جاری ہے وہ محشر تک اقرار کو کیا کہیے۔

بس ایک پلک جھپکی معراج ہوئی پوری
اس صاحبِ رفعت کی رفتار کو کیا کہیے۔

تھی نطقِ محمد میں تاثیرِ کلامِ رب
فصحا بھی بنے گونگے گفتار کو کیا کہیے۔

ایک ایک صحابی پر فردوس بھی نازاں ہے
صدیق عمر عثمان کرار کو کیا کہیے۔

اے طور تجھے شاید وہ بات نہ بھولی ہو
اسرار کو کیا کہیے انکار کو کیا کہیے۔

وہ غار کہ جس نے ایک تاریخ بنائی ہے
اس غار کو کیا کہیے اس یار کو کیا کہیے۔

نظمی تیری نعتوں کا انداز نرالا ہے
مضمون انوکھے ہیں اشعار کو کیا کہیے۔

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top