Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi Naat Lyrics

 

 

Sabhi Khush Hain

Sabhi Khush Hain Khudaayi Bhi Khuda Bhi

Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi

 

Larka Hai Khuda Ke Ghar Ka Larki Hai Nabi Ke Ghar Ki

Wo Arz O Samaan Ka Maalik Ye Malika Behr O Bar Ki

Zameen Raksa Hai Raksa Aasmaan Bhi

 

Haidar Hai Kulle Imaan Aur Kulle Ismat Zehra

Us Sar Pe Wafa Ka Sehra Is Sar Pe Haya Ka Sehra

Wo Shehzaada Hai Aur Ye Shaahzaadi

 

Dulha Ke Roop Me Pyaare Ali Ibne Taalib Hain

Tha Baap Bhi Sab Se Ghaalib Ye Bhi Kulle Ghaalib Hai

Ye Daamaade Nabi Hai Aur Wo Sambdhi

 

Baaraat Chali Haidar Ki Rehmat Ke Saaye Saaye

Baaraat Ke Aage Aage Qur’aan Qaside Gaaye

Nabi Saare Chale Ban Kar Baraati

 

Tohfe Me Mile Mehk Aise Inhein Jannat Aur Kawsar Ko

Ye Saara Namak Aur Paani Haq Mehr Mila Zehra Ko

Salaami Me Mili Marzi Khuda Ki

 

Qudrat Ki Taraf Se Inko Abhi Tohfe Aur Milenge

Kal Inke Haseen Aangan Me Do Asli Phul Khilenge

Haseen Shajarein Jinhein Denge Salaami

 

Ab Chaahe Koyi Bharke Ab Chaahe Koyi Tarpe

Ab Meri Bhalaa Se Chaahe Mar Jaaye Koyi Jal Jal Ke

Khushi Ki Baat Thi Maine Sunaadi

 

Kaise Ho Bayaan Wo Manzar Jab Khatm Huwi Sab Rasmein

Kaunein Ki Har Sheh Gauhar Kehti Thi Kha Kar Qasmein

Mubaarak Hai Mubaarak Hai Ye Shaadi

Leave a Reply

%d bloggers like this: