Maulana Ujaagar sahab ka likha hua nihayat hi mashhoor aur roohani kalam pesh-e-khidmat hai.
Is mubarrak naat-e-pak mein Huzoor Sarwar-e-Kainat ﷺ ki aamad-e-paak aur Milad-un-Nabi ki dhoom-dham ko nihayat dilkash andaaz mein bayan kiya gaya hai.
Aaiye is haseen kalam ko padhein aur apne dilon ko ishq-e-rasool se munawwar karein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Aalam Mein Baraat Rachi Hai, Arsh Ka Dulha Aaya Hai |
| Poet / Writer | Maulana Ujaagar |
| Category | Naat Sharif |
| Naatkhawan / Reciter | Muhammad Ali Soharwardi / Multi-reciters |
Naat Lyrics in Roman
Aalam mein baraat rachi hai, Arsh ka dulha aaya hai
Jugmug jugmug duniya saji hai, Arsh ka dulha aaya hai
Arsh se utra noor Khuda ka, noor ba-daman saari duniya
Inki ziya se ye chamki hai, Arsh ka dulha aaya hai
Khushiyon ke fawware uble, kaisi masti chhayi hai
Ghar ghar mein shaadi utri hai, Arsh ka dulha aaya hai
Farsh pe chamka arsh ka taara, Aamna Bi ke ghar utra
Do aalam mein dhoom machi hai, Arsh ka dulha aaya hai
Me’raj ki manzil pe ‘Ujaagar’, tanha faa’iz Sarwar hain
Baraati har ek Nabi hai, Arsh ka dulha aaya hai
Naat Lyrics in Hindi
आलम में बारात रची है, अ़र्श का दूल्हा आया है
जगमग जगमग दुनिया सजी है, अ़र्श का दूल्हा आया है
अ़र्श से उतरा नूर ख़ुदा का, नूर ब-दामन सारी दुनिया
इनकी ज़िया से ये चमकी है, अ़र्श का दूल्हा आया है
खुशियों के फ़व्वारे उबले, कैसी मस्ती छायी है
घर घर में शादी उतरी है, अ़र्श का दूल्हा आया है
फ़र्श पे चमका अ़र्श का तारा, आमना बी के घर उतरा
दो आलम में धूम मची है, अ़र्श का दूल्हा आया है
मे’राज की मंज़िल पे ‘उजागर’, तन्हा फ़ाइज़ सरवर हैं
बाराती हर एक नबी है, अ़र्श का दूल्हा आया है
Naat Lyrics in Urdu
عالم میں بارات رچی ہے، عرش کا دولہا آیا ہے
جگمگ جگمگ دنیا سجی ہے، عرش کا دولہا آیا ہے
عرش سے اترا نور خدا کا، نور بہ دامن ساری دنیا
ان کی ضیا سے یہ چمکی ہے، عرش کا دولہا آیا ہے
خوشیوں کے فوارے ابلے، کیسی مستی چھائی ہے
گھر گھر میں شادی اتری ہے، عرش کا دولہا آیا ہے
فرش پہ چمکا عرش کا تارا، آمنہ بی کے گھر اترا
دو عالم میں دھوم مچی ہے، عرش کا دولہا آیا ہے
معراج کی منزل پہ ’اجاگر‘، تنہا فائز سرور ہیں
باراتی ہر ایک نبی ہے، عرش کا دولہا آیا ہے