Badhe Jo Kar Ke Wo Soo-e-Shah-e-Anam Salam || बढ़े जो कर के वो सू-ए-शह-ए-अनाम सलाम

Shayar Munawwar Badayuni sahab ka likha hua aur Alhaaj Owais Raza Qadri ki khubsoorat aawaz mein pesh kiya gaya nihayat hi pyara aur roohani kalam pesh-e-khidmat hai.
Is mubarrak naat-e-pak mein Imam-e-Aali Maqaam Hazrat Imam Hussain RA ki Karbala ke safar aur bargaah-e-risalat mein pesh kiye jaane wale nazrana-e-salam ko nihayat hi aqeedat aur adab ke sath bayan kiya gaya hai.
Aaiye is dildoz aur imaan-afza salam ko padhein aur apne dilon ko ishq-e-rasool aur muhabbat-e-ahle-bait se sarshaar karein.

Naat Information Details
Naat Title Badhe Jo Kar Ke Wo Soo-e-Shah-e-Anam Salam
Poet / Writer Munawwar Badayuni
Category Naat / Salam / Manqabat
Naatkhawan / Reciter Zulfiqar Ali Hussaini / Owais Raza Qadri

Naat Lyrics in Roman

ba.Dhe jo kar ke wo soo-e-shah-e-anaam salaam
sadaae.n aati thi.n har samt se salaam salaam

ba.Da hujoom tha tayba ki pehli manzil par
kha.De the raah me.n karne ko KHaas-o-‘aam salaam

chale husain jo tayba se karbala ki taraf
jahaa.n pahunchte the karta tha wo maqaam salaam

jo ‘azm kar ke chale the wo karbala pahunche
agarche raah me.n aate rahe payaam salaam

zameen-e-manzil-e-maqsood ne qadam choome
falak ne door se jhuk kar kaha, imaam salaam

ye shaah wo jinhe.n sab shaah shaah kehte hai.n
imaam wo jinhe.n karte hai.n sab imaam salaam

salaam-e-banda-e-‘aasi qabool ho, shaaha !
tumhaari aal par, aulaad par mudaam salaam

unhe.n salaam, Munawwar ! ye chaahta hai jee
tamaam ‘umr likhu.n aur na ho tamaam salaam

Poet: Munawwar Badayuni
Naat-Khwaan: Zulfiqar Ali Hussaini / Owais Raza Qadri

Naat Lyrics in Hindi

बढ़े जो कर के वो सू-ए-शह-ए-अनाम सलाम
सदाएँ आती थीं हर सम्त से सलाम सलाम

बड़ा हुजूम था तयबा की पहली मंज़िल पर
खड़े थे राह में करने को ख़ास-ओ-‘आम सलाम

चले हुसैन जो तयबा से कर्बला की तरफ़
जहाँ पहुँचते थे करता था वो मक़ाम सलाम

जो ‘अज़्म कर के चले थे वो कर्बला पहुँचे
अगरचे राह में आते रहे पयाम सलाम

ज़मीन-ए-मंज़िल-ए-मक़्सूद ने क़दम चूमे
फ़लक ने दूर से झुक कर कहा, इमाम सलाम

ये शाह वो जिन्हें सब शाह शाह कहते हैं
इमाम वो जिन्हें करते हैं सब इमाम सलाम

सलाम-ए-बंदा-ए-‘आसी क़बूल हो, शाहा !
तुम्हारी आल पर, औलाद पर मुदाम सलाम

उन्हें सलाम, मुनव्वर ! ये चाहता है जी
तमाम ‘उम्र लिखूँ और न हो तमाम सलाम

शायर: मुनव्वर बदायुनी
ना’त-ख़्वाँ: ज़ुल्फ़िक़ार अली हुसैनी / ओवैस रज़ा क़ादरी

Naat Lyrics in Urdu

بڑھے جو کر کے وہ سوئے شہِ انام سلام
صدائیں آتی تھیں ہر سمت سے سلام سلام

بڑا ہجوم تھا طیبہ کی پہلی منزل پر
کھڑے تھے راہ میں کرنے کو خاص و عام سلام

چلے حسین جو طیبہ سے کربلا کی طرف
جہاں پہنچتے تھے کرتا تھا وہ مقام سلام

جو عزم کر کے چلے تھے وہ کربلا پہنچے
اگرچہ راہ میں آتے رہے پیام سلام

زمینِ منزلِ مقصود نے قدم چومے
فلک نے دور سے جھک کر کہا، امام سلام

یہ شاہ وہ جنہیں سب شاہ شاہ کہتے ہیں
امام وہ جنہیں کرتے ہیں سب امام سلام

سلامِ بندہءِ عاصی قبول ہو، شاہا!
تمہاری آل پر، اولاد پر مدام سلام

انہیں سلام، منور! یہ چاہتا ہے جی
تمام عمر لکھوں اور نہ ہو تمام سلام

شاعر: منور بدایونی
نعت خواں: ذوالفقار علی حسینی / اویس رضا قادری

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top