Bagh Jannat Kay Hain Lyrics

 

Bagh e Jannat Ke Hain Behr e Madha Khwan e Ahl e Bait
Tum Ko Muzda Naar Ka Aae dushmanan e Ahl e Bait

Kis Zubaan Se Ho Bayaan Izz o Shaan e Ahl e Bait
Madha Go e Mustafa Hai Madha Khwan e Ahl e Bait

Unki paaki ka Khuda e Paak Karta hai Bayaan
Ayaah e Tatheer se zahir Hai shaan e Ahl e Bait

Mustafa Izzat Badhane Ke Liye tazeem dein
Hai Buland Iqbal Tera Doodmaan e Ahl e Bait

Unke Ghar Be Ijazat Jibrael Aate Nahi
Qadr Wale Jaante Hain Qadr o Shaan e Ahl e Bait

Ramz Ka maidaan bana hai jalwah gaah e husn o ishq
Karbala Me Ho Raha Hai Imtihan e Ahl e Bait

Phool Zakhmon Ke Khilaye Hain Hawa e Dost Ne
Khoon se seencha gaya hai Gulsitaan e Ahl e Bait

Hoorein Karti hai Aroosaan e Shahadat ka singhaar
Khuburu Dulha Bana Hai Har Jawaan e Ahl e Bait

Ho Gai Tehqeeq Eid e Deed Aab e Taigh Se
Apne Roze Kholte hain Saa`imaan e Ahl e Bait

Jummah ka Din hai Kitabein zeest ki Tay kar ke Aaj
Kheltein hain Jaan Per Shahezaadgaan e Ahl e Bait

Aae Shabaab e Fasl e Gul Yeh Chal Gayi Kaisi Hawa
Katt Rahaa hai Lehlahaata Boostan e Ahl e Bait

Kis Shaqi Ki hai Huqoomat Haaye Kya Andher Hai
Din Dahaade Lutt Raha hai Karwaan e Ahl e Bait

Khushq Ho Ja Khaakh Ho Kar Khaakh Me Mil Ja Furaat
Khaakh Tujh Per Dekh Toh sukhi zabaan e Ahl e Bait

Khaakh Per Abbas o Usmaan e Alambardaar Hain
Be Kasi Ab Koun Uthaye Ga Nishaan e Ahl e Bait

Teri Qudrat Janwaron Taq Aab Se Sairaab Hon
Pyaas Ki Shiddat Me Tadpe Be Zabaan e Ahl e Bait

Qafilah Salaar Manzil Ko Chale Hain Soonp Kar
Waaris e Be Warisaan Ko Kaarwaan e Ahl e Bait

Fatimah Ke Laadle Ka Aakhri Deedar Hai
Hashr Ka Hangama Barpa hai Mayaan e Ahl e Bait

Waqt e Rukhsat keh Raha hai Khakh Me Milta Suhaag
Lo Salaam e Aakhri Aae Bewgaan e Ahl e Bait

Abr e Faoj Dushmanaan Me Aae Falaq youn doob Jaaye
Fatimah ka Chand Mehr e Aasman e Ahl e Bait

Kis Maze Ki Lazzatein Hain aab e taigh e Yaar me
Khaakh o Khoon Me Laot te Hain Tishnagaan e Ahl e Bait

Baagh e Jannat chodh kar aaye Hain Mehboob e Khuda
Aae Zahe qismat Tumhari Kushtgaan e Ahl e Bait

Hoorein be Pardah Nikal aayi Hain sar khole Hue
Aaj Kaisa Hashr Hai Barpa Mayaan e Ahl e Bait

Koi Kyon Puche Kisi Ko Kya garaz Aae Bekasi
Aaj Kaisa Hai Mareez e Neem Jaan e Ahl e Bait

Ghar Lutana Jaan Dena Koi Tujh se Seekh jaaye
Jaan e Aalam Ho Fida Aae Khandaan e Ahl e Bait

Sar Shaheedan e Muhabbat Ke Hain Nezon Per Buland
Aur Uoonchi Ki Khuda Ne Qadr o Shaan e Ahl e Bait

Daolat e deedar Paayi Paak Jaanein bech kar
Karbala me Khoob hi Chamki Dukaan e Ahl e Bait

Zakhm Khane Ko Toh aab e Taigh Pine Ko Diya
Khoob Dawat ki Bula Kar dushmanan e Ahl e Bait

Apna Saoda Bech Kar Bazaar suna Kar gaye
Kaonsi Basti basayi Tajiraan e Ahl e Bait

Ahl e Bait e Paak Se Gustakhiyaan Be Bakiyaan
La`natullahi Alaykum dushmanan e Ahl e Bait

{sallallahu alayhi wa Sallam}
{radi allahu anhuma}

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *