Chamak Ne Laga Sunniyat Ka Sitara Naat Lyrics

Chamak Ne Laga Sunniyat Ka Sitara Naat Lyrics

 

Chamak Ne Laga Sunniyat Ka Sitara

Bareily Mein Ahmad Raza Jabse Aaye

Huwa Sard Fitnoun Ka Har Ekk Sharara

Bareily Mein Ahmad Raza Jabse Aaye

 

Udhar Kufr Ki Sari Tanzeemien Shamill

Idhar Ahle SunNaat Akele Muqabill

Magar Sunniyoun Ne Hi Maidan Mara

Bareily Mein Ahmad Raza Jabse Aaye

 

Fatawe Mein Itni Hadeesen Sajaei

Ke Jiss Pe Karen Faqr Rooh E Buqari

Bareily Bana Sunniyoun Ka Buqara

Bareily Mein Ahmad Raza Jabse Aaye

 

Go Urdu Mein Pehle Bhi Thi Naat Goyi

Magar Qabile Tazkira Thi Na Koyi

Falak Chu Gea Sheari Ka Minara

Bareily Mein Ahmad Raza Jabse Aaye

 

Bahut Hi Munazzam The Najdi Wahabi

Thi Harsu Kharabi Kharabi Kharabi

Huwa Ittehad Uska Kull Para Para

Bareily Mein Ahmad Raza Jabse Aaye

 

Pachsou Uloom Ekk Seene Mein Maqfi

Fasana Nahi Ye Haqeeqat He Faizi

Magar Ye Haqeeqat Huwi Ashkara

Bareily Mein Ahmad Raza Jabse Aaye

Leave a Reply