DAYAAR E HIND ME RAB KI ATA GHARIB NAWAZ NAAT LYRICS

DAYAAR E HIND ME RAB KI ATA GHARIB NAWAZ NAAT LYRICS

 

Dayaar e Hind me Rab ki ata Gharib Nawaz
Rasool e Hashmi ki hain raza Gharib Nawaz

Ba Roz e Hashr mujhe bakhshwa Gharib Nawaz
Tere hi dar ka hun adna gada Gharib Nawaz

Fuyooz e chisht se sarshaar isko bhi farma
Gharib dar pe tere hai khada Gharib Nawaz

Yahi to Jin o malak, Ins o jaa’n ke lab par hai
Hai rashk e baagh e iram dar tera Gharib nawaz

Samaya kuze me sagar ko aapne jis dam
Zamana dekh ke hairaa’n huwa Gharib Nawaz

Dayaar e Hind me dee’n ka chaman jo hai shadaab
Tere hi fazl o karam se khila Gharib Nawaz

“Tameem” e khasta ki imdaad ho dam e akhir
Ho iska khatima bil khair Ya Gharib Nawaz

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

Az qalam- Peerzada Syed Tameem Ashraf Hussaini Ashrafi
Farzand e Sajjada Nasheen Bargah e Shamsiya Huzoor Qutbe Raichur

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

دیارِ ہند میں رب کی عطا غریب نواز
رسولِ ہاشمی کی ہیں رضا غریب نواز

بروزِ حشر مجھے بخشوا غریب نواز
ترے ہی در کا ہوں ادنیٰ گدا غریب نواز

فیوضِ چشت سے سرشار اِس کو بھی فرما
غریب در پہ ترے ہے کھڑا غریب نواز

یہی تو جن و ملک، انس و جاں کے لب پر ہے
ہے رشکِ باغِ ارم در ترا غریب نواز

سمایا کوزے میں ساگر کو آپ نے جس دم
زمانہ دیکھ کہ حیراں ہوا غریب نواز

دیارِ ہند میں دیں کا چمن جو ہے شاداب
ترے ہی فضل و کرم سے کِھلا غریب نواز

تمیمِ خستہ کی امداد ہو دمِ آخر
ہو اِس کا خاتمہ بالخیر یا غریب نواز

 

Wallah Mere Khwaja Ka Darbar Nirala hai Manqabat Lyrics

Adab Se Arz Hai Ba Chashm-e-Tar Gharib Nawaz Lyrics

Sab ke Hajat Rawa Garib Nawaz Naat Lyrics

Tera Dayar Hai Daar Us Salaam Ya Khwaja Lyrics

Leave a Reply