Huzoor Alaihissalatu Wassalam ki bargah me pesh kiya gaya ye intehayi khubsoorat aur dard bhara kalam faryad-o-ilteja par mabni hai. Is paak kalam me ummat ki maujuda pareshaniyon aur mushkilaat se najaat ke liye Aaqa e Namdar ﷺ ki bargah me karam ki guzarish ki gayi hai. Aaiye is behad asar-andaz kalam ko padhein aur apne dilon me ishq-e-Rasool ﷺ ko taza karein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Haal-e-Ummat Pe Tawajjo Ki Nazar Ho Jaaye |
| Poet / Writer | Tameem |
| Category | Naat-e-Paak / Faryadi Kalam |
| Naatkhawan / Reciter |
Naat Lyrics in Roman
Haal-e-Ummat Pe Tawajjo Ki Nazar Ho Jaaye
Khatm Ab Zulm Ka Aaqa! Ye Pahar Ho Jaaye
Sar Sar-e-Jor Yahan Bahti Hai Har Ja Aaqa
Hum Pareshan Hain Ab Door Ye Shar Ho Jaaye
Mulk Maaman Bane Jo Faile Sadaqat Ki Hawa
Mere Sarkar Kabhi Aisi Sahar Ho Jaaye
Doobe Hain Hum Jo Tahazzun Mein, Nikal Jayenge
Qalb-e-Ummat Pe Karam Ka Jo Matar Ho Jaaye
Kufr-o-Ilhaad Ke Toofan Mein Phansi Hai Kishti
Aah! Ab Door Khudara Ye Bhanwar Ho Jaaye
Raah Pur-Khaar Hai Nikla Hoon Main Deen Ki Khaatir
Paa Ba-Zakhmi Hoon Ab Aasaan Ye Mamar Ho Jaaye
Sarkashi Aam Hui Dahar Mein Ab Har Jaanib
Haal Ae Kaash ‘Tameem’ Apna Zabar Ho Jaaye
Naat Lyrics in Hindi
हाल-ए-उम्मत पे तवज्जो की नज़र हो जाए
ख़त्म अब ज़ुल्म का आक़ा! ये पहर हो जाए
सर सर-ए-जोर यहाँ बहती है हर जा आक़ा
हम परेशान हैं अब दूर ये शर हो जाए
मुल्क मामन बने जो फैले सदाक़त की हवा
मेरे सरकार कभी ऐसी सहर हो जाए
डूबे हैं हम जो तहज़्ज़ुन में, निकल जाएँगे
क़ल्ब-ए-उम्मत पे करम का जो मतर हो जाए
कुफ़्र-ओ-इलहाद के तूफ़ां में फंसी है किश्ती
आह! अब दूर ख़ुदारा ये भंवर हो जाए
राह पुर-ख़ार है निकला हूँ मैं दीं की ख़ातिर
पा ब-ज़ख़्मी हूँ अब आसां ये ममर हो जाए
सरकशी आम हुई दहर में अब हर जानिब
हाल ऐ काश ‘तमीम’ अपना ज़बर हो जाए
Naat Lyrics in Urdu
حالِ امت پہ توجہ کی نظر ہو جائے
ختم اب ظلم کا آقا! یہ پہر ہو جائے
سرسرِ جور یہاں بہتی ہے ہر جا آقا
ہم پریشان ہیں اب دور یہ شر ہو جائے
ملک مأمن بنے جو پھیلے صداقت کی ہوا
میرے سرکار کبھی ایسی سحر ہو جائے
ڈوبے ہیں ہم جو تحزن میں، نکل جائیں گے
قلبِ امت پہ کرم کا جو مطر ہو جائے
کفر و الحاد کے طوفان میں پھنسی ہے کشتی
آہ! اب دور خدارا یہ بھنور ہو جائے
راہ پرخار ہے نکلا ہوں میں دیں کی خاطر
پا بہ زخمی ہوں اب آساں یہ ممر ہو جائے
سرکشی عام ہوئی دہر میں اب ہر جانب
حال اے کاش ’تمیم‘ اپنا زبر ہو جائے