Hajj par bula Maula Dua Lyrics || Hafiz Tahir Qadri
Gilafe Khana-e-Kaaba tha Mere Hathon mein
Khuda se Arzo guzarish ki Intehaon mein tha
Tawaf karta tha Parwana-war Kaabe ka
Jahane Arzo Sama Jaise Mere paaon mein tha
Hateem mein Mere Sajdon ki Kayfiyat thi ajab
Jabee Zameen pe thi Zahen Kehkashaon mein tha
Dare Karam pe Sada de raha tha Ashkon se
Jo Multazam pe khade the Mein Un gadaon mein tha
Muje yakeen hai Mein Fir bulaya Jaunga
Ke Ye Sawal bhi Shamil Meri Duaon mein tha
Ab Raste khulein Pahunchun Mein Ya Khuda
Hajj par bula Maula Kaaba dikha Maula
Ya Khuda Bahere Muhammad Tu Muje Hajj pe bula
Kash Mein bhi dekh lun Aa kar haseen Kaaba Tera
Hajj par bula Maula Kaaba dikha Maula
Kash aa jaye bulawa Us Mubarak Shaher se
Hai Jahan par Turbate Khairul Bashar Jalwa-numa
Hajj par bula Maula Kaaba dikha Maula
Ab Raste khulein Pahunchun Mein Ya Khuda
Ya Khuda Jab dekh lunga Mein Tera Pyara Haram
Jaunga Fir Hajiyon ke Sath Shahere Mustafa
Hajj par bula Maula Kaaba dikha Maula
Ab Raste khulein Pahunchun Mein Ya Khuda
Ilahi Fir dekhade Wo Pyara Pyara Kaaba
Fir dikhade Haram Tere Bande hein Ham
Ham pe Karde Karam Tere Bande hein Ham
Ham Gunahgar hein Ham Siyahkar hein
Ho Karam Karam Karam Tere Bande hein Ham
Samne Kaaba Tera ho Dastbasta Mein rahun
Ye Karam karde Khudaya Sadka-e-Khairul-wara
Hajj par bula Maula Kaaba dikha Maula
Ab Raste khulein Pahunchun Mein Ya Khuda
Sange Aswad ka Mein bosa Ya Khuda leta rahun
Az Paye Gausul Wara Mujko Sharaf Ye kar ata
Aabe Zamzam bhi wahan par Khub Mein Pita rahun
Ho Karam Mujpar Khuda Bahere Janabe Mustafa
Hajj par bula Maula Kaaba dikha Maula
Ab Raste khulein Pahunchun Mein Ya Khuda
Kyun na jaye Makka se Tafseer Darbare Nabi
Jab ke Unke Dar pe bant’ta hai Khazana Noor ka
Hajj par bula Maula Kaaba dikha Maula
Ab Raste khulein Pahunchun Mein Ya Khuda