Halke Mein Rasoolon Ke Lyrics || हल्के में रसूलों के वो माह-ए-मदनी है

Tajdar-e-Kainat, Huzoor Rahmat-ul-Lil-Aalameen ﷺ ki bargah me pesh kiya gaya ye ye nihayat hi mashhoor kalam “Halke Mein Rasoolon Ke” Me’raj aur Shaan-e-Mustafa ko bayan karta hai. Hazrat Ameer Meenai Alaihirrahma ke is la-jawab kalam me nabi-e-paak ki bemisaal azmat aur unki ek nazar-e-karam ki talab ko bade hi khubsoorat andaz me pesh kiya gaya hai. Aaiye is pur-wajd aur ruhan-parwar qawwali-numa naat ko padhein aur apne dilon ko ishq-e-mustafa se munawwar karein.

Naat Information Details
Naat Title Halke Mein Rasoolon Ke Wo Mah-e-Madni Hai
Poet / Writer Ameer Meenai
Category Naat-e-Paak / Qawwali
Naatkhawan / Reciter Ustad Nusrat Fateh Ali Khan / Rahat Fateh Ali Khan

Naat Lyrics in Roman

Chehra Zulfon Mein Jaise Abr Mein Chand
Husn-e-Yusuf Bhi Jiske Aage Maand

Halke Mein Rasoolon Ke Wo Mah-e-Madni Hai
Kya Chand Ki Tanveer Sitaron Mein Chhani Hai

Jalwe Machal Ke Ho Gaye Aap Benaqaab
Nikli Jo Amina Ke Nageene Se Roshni

Main Uske Ghulamon Mein Hoon
Jo Sab Ka Hai Aaqa

Ba-Sidq O Safa Gasht Bechara Jami
Ghulam-e-Ghulamana Aale Muhammad

Sardar-e-Rasool Sayyid-e-Makke Madni Hai
Kehdo Mere Eesa Se Madine Mein Ja Koi

Nahi Hajat Dil O Jigar Ke Liye
Bas Ik Nazar Teri Kaafi Hai Umr Bhar Ke Liye

Koi Kaash Ja Ke Kehde Ye Agar Ke Meherban Se
Tere Gham Mein Ae Masiha Koi Ja Raha Hai Jaan Se

Aye Bas Rab Tumhari Ek Nazar Darkar Hai
Ek Nazar Rehmat Ki Ho Jaye To Beda Paar Hai

Kehdo Mere Eesa Se Madine Mein Ye Koi
Ab Jaan Pe Bhi Baar-e-Muhabbat Ki Bani Hai

Mehboob Ko Bin Dekhe Hue Laut Raha Hai
Mushtaq Mein Kya Rang-e-Owais-e-Qarani Hai

Kuch Madah Padhun Roza-e-Purnoor Mein Jaakar
Ye Baat Amir Ab To Mere Dil Mein Thani Hai

Naat Lyrics in Hindi

चेहरा ज़ुल्फ़ों में जैसे अब्र में चाँद
हुस्न-ए-यूसुफ़ भी जिसके आगे माँद

हल्के में रसूलों के वो माह-ए-मदनी है
क्या चाँद की तनवीर सितारों में छनी है

जलवे मचल के हो गए आप बेनक़ाब
निकली जो आमना के नगीने से रोशनी

मैं उसके ग़ुलामों में हूँ
जो सब का है आक़ा

बा-सिद्क़-ओ-सफ़ा गश्त बेचारा जामी
ग़ुलाम-ए-ग़ुलामाना आले मुहम्मद

सरदार-ए-रसूल सय्यद-ए-मक्के मदनी है
कहदो मेरे ईसा से मदीने में जा कोई

नही हाजत दिल ओ जिगर के लिए
बस इक नज़र तेरी काफ़ी है उम्र भर के लिए

कोई काश जा के कहदे ये अगर के मेहरबाँ से
तेरे ग़म में ऐ मसीहा कोई जा रहा है जाँ से

ऐ बस रब तुम्हारी एक नज़र दरकार है
एक नज़र रहमत की हो जाए तो बेड़ा पार है

कहदो मेरे ईसा से मदीने में ये कोई
अब जाँ पे भी बार-ए-मुहब्बत की बनी है

महबूब को बिन देखे हुए लौट रहा है
मुश्ताक़ में क्या रंग-ए-उवैस-ए-क़रनी है

कुछ मदह पढ़ूँ रौज़ा-ए-पुरनूर में जाकर
ये बात अमीर अब तो मेरे दिल में ठनी है

Naat Lyrics in Urdu

چہرہ زلفوں میں جیسے ابر میں چاند
حسنِ یوسف بھی جس کے آگے ماند

حلقے میں رسولوں کے وہ ماہِ مدنی ہے
کیا چاند کی تنویر ستاروں میں چھنی ہے

جلوے مچل کے ہو گئے آپ بے نقاب
نکلی جو آمنہ کے نگینے سے روشنی

میں اس کے غلاموں میں ہوں
جو سب کا ہے آقا

با صدق و صفا گشت بیچارہ جامی
غلامِ غلامانہ آلِ محمد

سردارِ رسول سیدِ مکے مدنی ہے
کہہ دو میرے عیسیٰ سے مدینے میں جا کوئی

نہیں حاجت دل و جگر کے لیے
بس اک نظر تیری کافی ہے عمر بھر کے لیے

کوئی کاش جا کے کہہ دے یہ اگر کے مہرباں سے
تیرے غم میں اے مسیحا کوئی جا رہا ہے جاں سے

اے بس رب تمہاری ایک نظر درکار ہے
ایک نظر رحمت کی ہو جائے تو بیڑا پار ہے

کہہ دو میرے عیسیٰ سے مدینے میں یہ کوئی
اب جاں پہ بھی بارِ محبت کی بنی ہے

محبوب کو بن دیکھے ہوئے لوٹ رہا ہے
مشتاق میں کیا رنگِ اویسِ قرنی ہے

کچھ مدح پڑھوں روضہٴ پرنور میں جا کر
یہ بات امیر اب تو میرے دل میں ٹھنی ہے

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top