Hum Sa Bhi Hoga Jahañ Meiñ Koi Naadañ Jaanañ Lyrics

Hum Sa Bhi Hoga Jahañ Meiñ Koi Naadañ Jaanañ Lyrics

 

 

Hum Sa Bhi Hoga Jahañ Meiñ Koi Naadañ Jaanañ
BeRukhi Ko Bhi Jo Samjhe Tera Ehsaañ Jaanañ.

 

Jab Bhi Karti Hai Mere Dil Ko Pareeshañ Duniya
Yaad Aati Hai Teri Zulf-e-Pareeshañ Jaanañ.

 

Maiñ Teri Pehli Nazar Ko Nahiñ Bhoola Ab Tak
Aaj Bhi Dil Mein Hai Paivast Woh Paikaañ Jaanañ.

 

Hum-Sukhan Ho Kabhi Aayeene Se Bahar Aa Kar
Aye Meri Rooh! Meri Aks-e-Gurezaañ Jaanañ.

 

Dasht-e-Gulrang Hai Kis Aabla-Paa Ke Khooñ Se
Kar Gaya Khoon Bayabaañ Ko Gulistañ Jaanañ.

 

Mujh Se Baañdhe The Bana Kar Jo Sitaaroñ Ko Gawah
Kar Diye Tu Ne Faraamosh Woh Paimaañ Jaanañ.

 

Kabhi Aate Hue Dekhooñ Tujhe Apne Ghar Meiñ
Kaash Poora Ho Mere Dil Ka Ye Armaañ Jaanañ.

 

Ik Musafir Ko Tere Shahr Meiñ Maut Aayi Hai
Shahr Se Door Nahin Gore Gareebañ Jaanañ.

 

Ye Tera Husn, Ye Kafir Si Adaayeñ Teri
Kaun Rah Sakta Aise Meiñ Musalmañ Jaanañ.

 

Kyun Tujhe Toot Ke Chaahe Na Khudayi Saari
Kaun Hai Tere Siva Yusuf-e-Dauraañ Jaanañ.

 

Naghma-o-Sher Mere Zauq Ka Hissa To Na The
Teri Aankhoñ Ne Banaya Hai Hai Ghazal-Khwañ Janan.

 

Jaañ-Ba-Lab, Khaak-Ba-Sar, Aah-Ba-Dil Khaana-Ba-Dosh
Mujh Sa Bhi Koyi Na Ho Be-Sar-o-Saamañ Jaanañ.

 

Ye To Pooch Usse Ke Jis Par Ye Bala Guzri Hai
Kya Khabar Tujhko Ke Kya Hai Shab-e-Hijraañ Janan.

 

Wo To Ik Naam Tumhara Tha Ke Aade Aaya
Warna Dhar Leti Mujhe Gardish-e-Dauraañ Janan.

 

Ye Wo Nisbat Hai Jo Tooti Hai Na Tootegi Kabhi
Maiñ Tera Khaak-Nasheeñ, Tu Mera Sultañ Janan.

 

Kya Tamaasha Ho Keh Khaamosh Khadi Ho Duniya
Maiñ Chaluñ Hashr Mein Kahte Hue Jaanañ Jaanañ.

 

Dar Pe Hazir Hai Tere Aaj Naseer-e-Aasi
Tera Mujrim, Tera Sharmida-e-Ehsaañ Jaanañ.

Leave a Reply