Haram-e-Kibriya ki ziyarat aur guzre hue Madine ke lamhon ki yaad mein dhal kar likha gaya yeh ek behad hi dard-bhara aur roohani kalam hai.
Is muqaddas naat sharif mein ek sadiq aashiq ke dil ki tadap, gumbad-e-khazra ke saaye ki thandak aur nabi ke dar par fana hone ki tamanna ka zikr hai.
Aayein is khoobsurat aur rooh-parwar kalam ke ashaar ko ba-adab padhein aur apne dilon mein yaad-e-madinah ki shama ko taaza karein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Ja Kar Koi Taiba Mein Ye Aaqa Ko Bataye |
| Poet / Writer | Malik Adnan Ahmad |
| Category | Naat Sharif |
| Naatkhawan / Reciter | Khalid Hasnain Khalid, Syed Hassan Ullah Hussaini, Muhammad Usama Khalid, Muhammad Hamza Khalid |
Naat Lyrics in Roman
Ja kar koi mein ye Aaqa ko bataye
Guzre hue lamhon ki bahut yaad sataye
Mat chhed, saba! mujh ko abhi zakhm hare hain
Aisa na ho phir aankh se aansu nikal aaye
Duniya mein faqat aap ki hasti hai wo hasti
Jis se ki ujala hi ujala nazar aaye
Phir maa si mujhe god ki thandak hui haasil
Hai yaad mujhe, Gumbad-e-Khazra! tere saaye
Mujrim hun, chala aaya hun mein aap ke dar par
Bin aap ke mujrim ko bhala kaun bachaye
Jab se soo-e-Batha ka ye shaidaai hua hai
Tab se dil-e-betaab kahin chain na paaye
Mujh se koi ye maal, ye daulat sabhi le kar
Lauta de wo pal jo the Madine mein bitaye
Phir aaye bulawa mujhe darbaar-e-Nabi se
Allah kabhi khair se ye din bhi dikhaye
Imaan kisi shakhs ka kaamil nahin hota
Jab tak ki wo Sarkar pe imaan na laye
Ahmad rahe taa-umr isi dar ka hi naukar
Ae kaash! isi dar pe ise maut bhi aaye
Naat Lyrics in Hindi
जा कर कोई तयबा में ये आक़ा को बताए
गुज़रे हुए लम्हों की बहुत याद सताए
मत छेड़, सबा ! मुझ को अभी ज़ख़्म हरे हैं
ऐसा न हो फिर आँख से आँसू निकल आए
दुनिया में फ़क़त आप की हस्ती है वो हस्ती
जिस से कि उजाला ही उजाला नज़र आए
फिर माँ सी मुझे गोद की ठंडक हुई हासिल
है याद मुझे, गुंबद-ए-ख़ज़रा ! तेरे साए
मुजरिम हूँ, चला आया हूँ मैं आप के दर पर
बिन आप के मुजरिम को भला कौन बचाए
जब से सू-ए-बतहा का ये शैदाई हुआ है
तब से दिल-ए-बेताब कहीं चैन न पाए
मुझ से कोई ये माल, ये दौलत सभी ले कर
लौटा दे वो पल जो थे मदीने में बिताए
फिर आए बुलावा मुझे दरबार-ए-नबी से
अल्लाह कभी ख़ैर से ये दिन भी दिखाए
ईमान किसी शख़्स का कामिल नहीं होता
जब तक कि वो सरकार पे ईमान न लाए
अहमद रहे ता-‘उम्र इसी दर का ही नौकर
ऐ काश ! इसी दर पे इसे मौत भी आए
Naat Lyrics in Urdu
جا کر کوئی طیبہ میں یہ آقا کو بتائے
گزرے ہوئے لمحوں کی بہت یاد ستائے
مت چھیڑ، صبا! مجھ کو ابھی زخم ہرے ہیں
ایسا نہ ہو پھر آنکھ سے آنسو نکل آئے
دنیا میں فقط آپ کی ہستی ہے وہ ہستی
جس سے کہ اجالا ہی اجالا نظر آئے
پھر ماں سی مجھے گود کی ٹھنڈک ہوئی حاصل
ہے یاد مجھے، گنبدِ خضراء! تیرے سائے
مجرم ہوں، چلا آیا ہوں میں آپ کے در پر
بن آپ کے مجرم کو بھلا کون بچائے
جب سے سوئے بطحاء کا یہ شیدائی ہوا ہے
تب سے دلِ بے تاب کہیں چین نہ پائے
مجھ سے کوئی یہ مال، یہ دولت سبھی لے کر
لوٹا دے وہ پل جو تھے مدینے میں بتائے
پھر آئے بلاوا مجھے دربارِ نبی سے
اللہ کبھی خیر سے یہ دن بھی دکھائے
ایمان کسی شخص کا کامل نہیں ہوتا
جب تک کہ وہ سرکار پہ ایمان نہ لائے
احمد رہے تا عمر اسی در کا ہی نوکر
اے کاش! اسی در پہ اسے موت بھی آئے