Jaan E Man Jaan E Zamana Sayyedi Akhtar Raza Lyrics || जान-ए-मन, जान-ए-ज़माना, सय्यदी अख़्तर रज़ा

Huzoor Tajush Shariah Hazrat Allama Mufti Akhtar Raza Khan Al-Azhari ki bargah-e-aqdas mein aqeedat-o-mohabbat se bhara yeh ek behad hi dil-chasp kalam hai.
Is pyari manqabat mein unki roohani shakhsiyat, unki nisbat aur unke khandaan-e-aala ki azmat-o-barkaataat ka zikr kiya gaya hai.
Aayein is khoobsurat manqabat ke unche aur noorani ashaar ko padhein aur silsila-e-razviyah ki barkat se apne dilon ko roshan karein.

Naat Information Details
Naat Title Jaan-e-Man, Jaan-e-Zamana, Sayyedi Akhtar Raza
Poet / Writer Sayyad Abdul Wasi Qadri Razvi
Category Manqabat Sharif
Naatkhawan / Reciter Sayyad Abdul Wasi Qadri Razvi

Naat Lyrics in Roman

Jaan-e-Man, Jaan-e-Zamana, Sayyedi Akhtar Raza
Dil Hi Mein Rehna, Na Jana, Sayyedi Akhtar Raza

Dil Mein Hai Tasveer Teri, Jab Main Chahoon Dekh Loon
Bas Mujhe Sar Hai Jhukana, Sayyedi Akhtar Raza

Main Ye Kaise Maan Loon Ki Aap Duniya Se Gaye
Aap Hain, Maine Ye Maana, Sayyedi Akhtar Raza

Jhoom Kar Naslein Hamari Ye Kahengi Fakhr Se
Aap Ka Paaya Zamana, Sayyedi Akhtar Raza

Aala Hazrat, Mufti-e-Aazam The, Phir Akhtar Raza
Ab Hai Asjad Ka Zamana, Sayyedi Akhtar Raza

Asjad-e-Millat Hamare Qaid-e-Ahle Sunan
Markazi Tera Gharana, Sayyedi Akhtar Raza

Naat Lyrics in Hindi

जान-ए-मन, जान-ए-ज़माना, सय्यदी अख़्तर रज़ा
दिल ही में रहना, न जाना, सय्यदी अख़्तर रज़ा

दिल में है तस्वीर तेरी, जब मैं चाहूँ देख लूँ
बस मुझे सर है झुकाना, सय्यदी अख़्तर रज़ा

मैं ये कैसे मान लूँ कि आप दुनिया से गए
आप हैं, मैंने ये माना, सय्यदी अख़्तर रज़ा

झूम कर नस्लें हमारी ये कहेंगी फ़ख़्र से
आप का पाया ज़माना, सय्यदी अख़्तर रज़ा

आला हज़रत, मुफ़्ती-ए-आज़म थे, फिर अख़्तर रज़ा
अब है असजद का ज़माना, सय्यदी अख़्तर रज़ा

असजद-ए-मिल्लत हमारे क़ाइद-ए-अहले सुनन
मरकज़ी तेरा घराना, सय्यदी अख़्तर रज़ा

Naat Lyrics in Urdu

جانِ من، جانِ زمانہ، سیدی اختر رضا
دل ہی میں رہنا، نہ جانا، سیدی اختر رضا

دل میں ہے تصویر تیری، جب میں چاہوں دیکھ لوں
بس مجھے سر ہے جھکانا، سیدی اختر رضا

میں یہ کیسے مان لوں کہ آپ دنیا سے گئے
آپ ہیں، میں نے یہ مانا، سیدی اختر رضا

جھوم کر نسلیں ہماری یہ کہیں گی فخر سے
آپ کا پایا زمانہ، سیدی اختر رضا

اعلیٰ حضرت، مفتیِ اعظم تھے، پھر اختر رضا
اب ہے اسجد کا زمانہ، سیدی اختر رضا

اسجدِ ملت ہمارے قائدِ اہلِ سنن
مرکزی تیرا گھرانا، سیدی اختر رضا

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top