jab nazar se milayi maza aa gaya Lyrics

jab nazar se milayi maza aa gaya Lyrics

 

jab nazar se milayi maza aa gaya
mere rashq e qamar tune pehli nazar jab nazar se milayi maza aa gaya
barq si gir gayi kaam hi kar gayi aag aisi lagayi maza aa gaya

jaam mein ghol kar husn ki mastiyan chaandni muskuraayi maza aa gaya
chand ke saaye mein aye mere saakiya tune aisi pilayi maza aa gaya

nasha sheeshe mein angrayi lene laga bazm e rindan mein saagar khanakne laga
maikade pe barasne lagin mastiyan jab ghata ghir ke chchayi maza aa gaya

behijabana wo saamne aa gaye aur jawaani jawaani se takra gayi
ankh unki ladi yun meri ankh se dekh kar ye ladayi maza aa gaya

ankh mein thi haya har mulaakaat par surkh aariz hue husn ki baat par
usne sharma ke mere sawaalaat pe aise gardan jhukayi maza aa gaya

shaikh sahib ka imaan bik hi gaya dekh kar husn e saaki pighal hi gaya
aaj se pehle ye kitne maghroor the lut gayi paar sayi maza aa gaya

aye ‘Fana’ shukr hai aaj baade fana usne rakh li mere pyar ki aabroo
apne haathon se usne meri qabr par chaadre gul chadayi maza aa gaya

Leave a Reply