Janabe Mustafa Ho Jis Se Na Khush


Aap Sabhi Ke Liye Pesh Hai Hazrat Hasan Raza Khan Barelvi Ka Likha Behad Maqbool Naat-E-Pak Janabe Mustafa Ho Jis Se Na Khush Ke Mukammal Lyrics.
Is Pyari Naat Sharif Mein Huzoor Ki Raza Aur Shafa’at Ke Be-Misaal Maqam Ko Nihayat Hi Dilkash Andaz Mein Bayan Kiya Gaya Hai.
Humein Umeed Hai Ke Yeh Noorani Tehreer Aap Ke Dilo Ko Behad Sukoon Aur Ishq-E-Mustafa Se Sarshaar Farmayegi.

Naat InformationDetails
Naat TitleJanabe Mustafa Ho Jis Se Na Khush
Poet / WriterHasan Raza Khan Barelvi
CategoryNaat Sharif
Naatkhawan / ReciterAlhaj Muhammad Owais Raza Qadri
Book NameZauq-e-Naat

Janabe Mustafa Ho Jis Se Na Khush Lyrics In Roman

Janab-E-Mustafa Ho Jis Se Na Khush
Nahin Mumkin Ho Ke Us Se Khuda Khush

Shah-E-Konain Ne Jab Sadqa Baanta
Zamane Bhar Ko Dam Mein Kar Diya Khush

Salateen Mangte Hain Bheek Us Se
Yeh Apne Ghar Se Hai Un Ka Gada Khush

Pasand-E-Haq Ta’ala Teri Har Baat
Tere Andaaz Khush Teri Ada Khush

Mitein Sab Zahir-O-Batin Ke Amraaz
Madinah Ki Hai Yeh Aab-O-Hawa Khush

Fa-Tarza Ki Mohabbat Ke Taqazay
Ke Jis Se Aap Khush Us Se Khuda Khush

Hazaron Jurm Karta Hoon Shab-O-Roz
Khosha Qismat Nahin Woh Phir Bhi Na Khush

Ilahi De Mere Dil Ko Gham-E-Ishq
Nishat-E-Dahar Se Ho Jaun Na Khush

Nahin Jaatin Kabhi Dasht-E-Nabi Se
Kuch Aisi Hai Baharon Ko Fiza Khush

Madinah Ki Agar Sarhad Nazar Aaye
Dil-E-Nashad Ho Be-Intaha Khush

Na Le Aaraam Dam Bhar Be-Gham-E-Ishq
Dil-E-Muztir Mein Khush Mera Khuda Khush

Na Tha Mumkin Ke Aisi Ma’asiyat Par
Gunahgaron Se Ho Jaata Khuda Khush

Tumhari Roti Aankhon Ne Hansaya
Tumhare Gham-Zada Dil Ne Kiya Khush

Ilahi Dhoop Ho Un Ki Gali Ki
Mere Sar Ko Nahin Zill-E-Huma Khush

Hasan Naat-O-Sunan Shireen Bayani
To Khush Bashi Ke Kar Di Waqt-E-Ma Khush

Janabe Mustafa Ho Jis Se Na Khush Lyrics In Hindi

जनाब-ए-मुस्तफ़ा हो जिस से ना खुश
नहीं मुमकिन हो के उस से ख़ुदा खुश

शह-ए-कोनैन ने जब सदक़ा बांटा
ज़माने भर को दम में कर दिया खुश

सलातीन माँगते हैं भीख उस से
यह अपने घर से है उन का गदा खुश

पसन्द-ए-हक़ ताला तेरी हर बात
तेरे अन्दाज़ खुश तेरी अदा खुश

मिटें सब ज़ाहिर-ओ-बातिन के अमराज़
मदीना की है यह आब-ओ-हवा खुश

फ़-तर्ज़ा की मोहब्बत के तक़ाज़े
के जिस से आप खुश उस से ख़ुदा खुश

हज़ारों जुर्म करता हूँ शब-ओ-रोज़
ख़ोशा क़िस्मत नहीं वह फिर भी ना खुश

इलाही दे मेरे दिल को ग़म-ए-इश्क़
निशात-ए-दहर से हो जाऊँ ना खुश

नहीं जातीं कभी दश्त-ए-नबी से
कुछ ऐसी है बहारों को फ़िज़ा खुश

मदीना की अगर सरहद नज़र आए
दिल-ए-नाशाद हो बे-इन्तहा खुश

ना ले आराम दम भर बे-ग़म-ए-इश्क़
दिल-ए-मुज़्तर में खुश मेरा ख़ुदा खुश

ना था मुमकिन के ऐसी मासीयत पर
गुनहगारों से हो जाता ख़ुदा खुश

तुम्हारी रोती आँखों ने हँसाया
तुम्हारे ग़म-ज़दा दिल ने किया खुश

इलाही धूप हो उन की गली की
मेरे सर को नहीं ज़िल्ल-ए-हुमा खुश

हसन नात-ओ-सुनन शीरीं बयानी
तो खुश बाशी के कर दी वक़्त-ए-मा खुश

Janabe Mustafa Ho Jis Se Na Khush Lyrics In Urdu

جنابِ مصطفیٰ ہو جس سے نا خوش
نہیں ممکن ہو کہ اس سے خدا خوش

شہِ کونین نے جب صدقہ بانٹا
زمانے بھر کو دم میں کر دیا خوش

سلاطیں مانگتے ہیں بھیک اس سے
یہ اپنے گھر سے ہے ان کا گدا خوش

پسندِ حق تعالیٰ تیری ہر بات
ترے انداز خوش تیری ادا خوش

مٹیں سب ظاہر و باطن کے امراض
مدینہ کی ہے یہ آب و ہوا خوش

فَترضیٰ کی محبت کے تقاضے
کہ جس سے آپ خوش اس سے خدا خوش

ہزاروں جرم کرتا ہوں شب و روز
خوشا قسمت نہیں وہ پھر بھی نا خوش

الہی دے مرے دل کو غمِ عشق
نشاطِ دہر سے ہو جاؤں نا خوش

نہیں جاتیں کبھی دشتِ نبی سے
کچھ ایسی ہے بہاروں کو فضا خوش

مدینہ کی اگر سرحد نظر آئے
دلِ ناشاد ہو بے انتہا خوش

نہ لے آرام دم بھر بے غمِ عشق
دلِ مضطر میں خوش میرا خدا خوش

نہ تھا ممکن کہ ایسی معصیت پر
گنہگاروں سے ہو جاتا خدا خوش

تمہاری روتی آنکھوں نے ہنسایا
تمہارے غم زدہ دل نے کیا خوش

الہی دھوپ ہو ان کی گلی کی
مرے سر کو نہیں ظلِ ہما خوش

حسنؔ نعت و سنن شیریں بیانی
تو خوش باشی کہ کر دی وقتِ ما خوش

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top