Lou Madine Ki Tajalli Se Lagaye Huye Hain

Pir Sayyid Naseeruddin Naseer Shah Ka Ye Aalamgir Aur Mashhoor Kalaam Dil Ko Madina Ki Tajalliyon Se Munawwar Kar Deta Hai. Is Kalam Mein Huzoor E Akram Ki Rehmat O Inayat Aur Shafa’at Ka Khoobsurat Zikr Nihayat Aqeodat Se Kiya Gaya Hai. Padhne Aur Sunne Walon Ke Dilon Mein Ishq E Rasool Ka Jazba Bedaar Hota Hai.

Naat InformationDetails
Naat TitleLou Madine Ki Tajalli Se Lagaye Huye Hain
Poet / WriterPir Sayyid Naseeruddin Naseer
CategoryNaat Shareef
Naatkhawan / ReciterOwais Raza Qadri
Book NameBarkate Raza Naat Book

Lou Madine Ki Tajalli Se Lagaye Huye Hain Lyrics In Roman

Lou Madine Ki Tajalli Se Lagaye Huye Hain
Dil Ko Hum Matla E Anwaar Banaye Huye Hain

Kashtiya Apni Kinaare Se Lagaye Huye Hain
Wo Kya Doobe Jo Muhammad Ki Tiraye Huye Hain

Sharm E Isyaan Se Nahi Saamne Jaaya Jaata
Ye Bhi Kya Kam Hai Tere Shehar Mein Aaye Huye Hain

Ik Jhalak Aaj Dikha Ghumbad E Khazra Ke Makee
Kuch Bhi Hain Door Se Deedar Ko Aaye Huye Hain

Qabr Ki Neend Se Uthna Koyi Aasaan Na Tha
Hum To Mehshar Mein Unhe Dekhne Aaye Huye Hain

Naam Aate Hi Abu Bakro Umar Ka Lab Par
Kyu Bigadta Hai Wo Pehlu Mein Sulaye Huye Hain

Haazir O Naazir O Noor O Bashar O Ghaib Ko Chor
Shukr Kar Wo Tere Aybo Ko Chupaye Huye Hain

Kyu Na Palla Tere A’amal Ka Bhari Ho Naseer
Ab To Meezan Pe Sarkaar Bhi Aaye Huye Hain

Lou Madine Ki Tajalli Se Lagaye Huye Hain Lyrics In Hindi

लौ मदीने की तजल्ली से लगाए हुए हैं
दिल को हम मतला-ए-अनवार बनाए हुए हैं।

कश्तियां अपनी किनारे से लगाए हुए हैं
वो क्या डूबे जो मुहम्मद की तिराए हुए हैं।

शर्म-ए-इस्यां से नहीं सामने जाया जाता
ये भी क्या कम है तेरे शहर में आए हुए हैं।

एक झलक आज दिखा गुम्बद-ए-ख़ज़रा के मकी
कुछ भी हैं दूर से दीदार को आए हुए हैं।

क़ब्र की नींद से उठना कोई आसान न था
हम तो महशर में उन्हें देखने आए हुए हैं।

नाम आते ही अबू बक्र-ओ-उमर का लब पर
क्यों बिगड़ता है वो पहलू में सुलाए हुए हैं।

हाज़िर-ओ-नाज़िर-ओ-नूर-ओ-बशर-ओ-ग़ैब को छोड़
शुक्र कर वो तेरे ऐबों को छुपाए हुए हैं।

क्यों न पलड़ा तेरे आमाल का भारी हो नसीर
अब तो मीज़ान पे सरकार भी आए हुए हैं।

Lou Madine Ki Tajalli Se Lagaye Huye Hain Lyrics In Urdu

لو مدینے کی تجلی سے لگائے ہوئے ہیں
دل کو ہم مطلعِ انوار بنائے ہوئے ہیں۔

کشتییاں اپنی کنارے سے لگائے ہوئے ہیں
وہ کیا ڈوبے جو محمد کی ترائے ہوئے ہیں۔

شرمِ عصیاں سے نہیں سامنے جایا جاتا
یہ بھی کیا کم ہے تیرے شہر میں آئے ہوئے ہیں۔

ایک جھلک آج دکھا گنبدِ خضرا کے مکیں
کچھ بھی ہیں دور سے دیدار کو آئے ہوئے ہیں۔

قبر کی نیند سے اٹھنا کوئی آسان نہ تھا
ہم تو محشر میں انہیں دیکھنے آئے ہوئے ہیں۔

نام آتے ہی ابوبکر و عمر کا لب پر
کیوں بگڑتا ہے وہ پہلو میں سلائے ہوئے ہیں۔

حاضر و ناظر و نور و بشر و غیب کو چھوڑ
شکر کر وہ تیرے عیبوں کو چھپائے ہوئے ہیں۔

کیوں نہ پلڑا تیرے اعمال کا بھاری ہو نصیر
اب تو میزان پہ سرکار بھی آئے ہوئے ہیں۔

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top