Main Bhi Aaqa Wo Tere Dar Ke Nazare Dekhun || मैं भी, आक़ा ! वो तेरे दर के नज़ारे देखूँ

Huzoor Sarwar-e-Kainat ﷺ ki bargah-e-aqdas me pesh kiya jaane wala ye ek nihayat hi maqbool aur dard bhara kalam hai. Is Naat-e-Paak me Madina Munawwara ki haazri aur Gumbad-e-Khazra ke nazaaron ki behad tadap aur pyari hasrat bayaan ki gayi hai. Aaiye is mubarrak kalam ko nihayat hi aqeedat aur adab ke sath padhein aur apne dilon me Madine ki yaad ko taza karein.

Naat Information Details
Naat Title Main Bhi Aaqa Wo Tere Dar Ke Nazare Dekhun
Poet / Writer Muhammad Shahabuddin Saifi
Category Naat-e-Paak
Naatkhawan / Reciter Umer Munir Qadri

Naat Lyrics in Roman

Main Bhi Aaqa Wo Tere Dar Ke Nazare Dekhun
Jitne Manzar Hain Madine Ke Wo Saare Dekhun

Main Bhi Aaqa Wo Tere Dar Ke Nazare Dekhun

Aap Ke Pehlu Mein Lete Hain Abu-Bakr-O-Umar
Rauze Mein Aap Ke Wo Yaar Piyare Dekhun

Main Bhi Aaqa Wo Tere Dar Ke Nazare Dekhun

Subh-O-Shaam Aate Hain Qudsi Bhi Salaami Ke Liye
Khuld Ke Milte Hain Jis Dar Se Ishaare Dekhun

Main Bhi Aaqa Wo Tere Dar Ke Nazare Dekhun

Sab Ke Bharte Hain Wahaan Kaase Wo Dar Hai Aisa
Kaise Milte Hain Wahaan Sub Ko Sahaare Dekhun

Main Bhi Aaqa Wo Tere Dar Ke Nazare Dekhun

Kamli Waale Ka Main Mangta Hoon Jahaan Waalo Suno
Dekh Kar Gair Ki Jaanib Kyun Khasaare Dekhun

Main Bhi Aaqa Wo Tere Dar Ke Nazare Dekhun

Badi Hasrat Hai Shahaab Aaqa Bulaayein Dar Pe
Apni Qismat Ke Chamakte Main Sitaare Dekhun

Main Bhi Aaqa Wo Tere Dar Ke Nazare Dekhun

Naat Lyrics in Hindi

मैं भी, आक़ा ! वो तेरे दर के नज़ारे देखूँ
जितने मंज़र हैं मदीने के वो सारे देखूँ

मैं भी, आक़ा ! वो तेरे दर के नज़ारे देखूँ

आप के पहलू में लेटे हैं अबू-बक्र-ओ-‘उमर
रौज़े में आप के वो यार पियारे देखूँ

मैं भी, आक़ा ! वो तेरे दर के नज़ारे देखूँ

सुब्ह-ओ-शाम आते हैं क़ुदसी भी सलामी के लिए
ख़ुल्द के मिलते हैं जिस दर से इशारे देखूँ

मैं भी, आक़ा ! वो तेरे दर के नज़ारे देखूँ

सब के भरते हैं वहाँ कासे, वो दर है ऐसा
कैसे मिलते हैं वहाँ सब को सहारे देखूँ

मैं भी, आक़ा ! वो तेरे दर के नज़ारे देखूँ

कमली वाले का मैं मँगता हूँ, जहाँ वालो ! सुनो
देख कर ग़ैर की जानिब क्यूँ ख़सारे देखूँ

मैं भी, आक़ा ! वो तेरे दर के नज़ारे देखूँ

बड़ी हसरत है, शहाब ! आक़ा बुलाएँ दर पे
अपनी क़िस्मत के चमकते मैं सितारे देखूँ

मैं भी, आक़ा ! वो तेरे दर के नज़ारे देखूँ

Naat Lyrics in Urdu

میں بھی آقـا وہ تیرے در کے نظارے دیکھوں
جتنے منظر ہیں مدینے کے وہ سارے دیکھوں

میں بھی آقـا وہ تیرے در کے نظارے دیکھوں

آپ کے پہلو میں لیٹے ہیں ابو بکر و عمر
روضے میں آپ کے وہ یار پیارے دیکھوں

میں بھی آقـا وہ تیرے در کے نظارے دیکھوں

صبح و شام آتے ہیں قدسی بھی سلامی کے لیے
خلد کے ملتے ہیں جس در سے اشارے دیکھوں

میں بھی آقـا وہ تیرے در کے نظارے دیکھوں

سب کے بھرتے ہیں وہاں کاسے، وہ در ہے ایسا
کیسے بھی ملتے ہیں وہاں سب کو سہارے دیکھوں

میں بھی آقـا وہ تیرے در کے نظارے دیکھوں

کملی والے کا میں منگتا ہوں، جہاں والو سنو!
دیکھ کر غیر کی جانب کیوں خسارے دیکھوں

میں بھی آقـا وہ تیرے در کے نظارے دیکھوں

بڑی حسرت ہے، شہاب! آقا بلائیں در پہ
اپنی قسمت کے چمکتے میں ستارے دیکھوں

میں بھی آقـا وہ تیرے در کے نظارے دیکھوں

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top