main mangti daata ki Lyrics

 

main mangti daata ki Lyrics

 

main mangti daata ki
kyun maangun main har har se
main mangti daata ki
meri jholi bhari hai is dar se
main mangti daata ki

aan khadi hai dar par daasi
aaj na rakhiyo daata pyaasi
chaahe qatra hi de saagar se
main mangti daata ki

daata piya ki hun main goli
bharkar jaaungi main jholi
sakhi hajveri ke dar se
main mangti daata ki

daata karam ki kar do najariya
tori ik nazar ki baat hai
mori zindagi ka sawaal hai

bhool bhool ki bhhol bhayi
bhala main bhooli kab tohe
main bhooli to bhool bhayi
par tum mat bhuliyo mohe

itt utt bhatkat umar gawayi
sukh ka dekh na rasta dikhayi
bipta ki maari tore charnon mein aayi
ab taaloge to bhi na talungi

more augun pe tum nigah na karo
tum apne kiye ka nibah karo
main buri hoon bhali hoon tihaari hoon
more daata mujh pe daya karo

daata karam ki kar do najariya
tori rahe aabaad nagariya
tal jaaye musibat sar se
main mangti daata ki

itna karam farmaao daata
tumhare ho ishq ka dagh dil par

karam teri bakshishon ata ki
karam ki tauheen hai yeh daata
mujhe jo dena hain betalab de
sakhi ke dar pe sawaal kaisa

itna karam farmaao daata
mehfil mein aa jaao daata
mora mannwa pal pal tarse
main mangti daata ki

aayi samajh mein baat ‘Niyaazi’
daata raazi sab jag raazi
yahaan bigdi banne hai nazar se
main mangti daata ki

 

 

Leave a Reply